keya namaaze wahshat sirf murde ke ghar waale ya rishte'daar hi padh sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, December 22, 2020

keya namaaze wahshat sirf murde ke ghar waale ya rishte'daar hi padh sakte hain ?

Sawaal az : khaahare geraami / lucknow


Salamunallaikum


Kya namaz-e-wahshat wo hi padh sakta hai jiske ghar intekhal hua hai kya koi door ka rishtedar padh sakta Hai bina ijazat k..


Naam mentioned na kijiyega
Jazakallah iltemas e Dua


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


namaaze wahshat namaaze janaazah ki tarah waajebe kefaaei nahi hai ke aek ne padh li to sab bariyuz zimmah (بری الذمہ) ho gae aur sab se saaqit ho gaei balke namaaze wahshat mustahabbi namaaz hai lehaaza is ko bela aejaazat har aek padh sakta hai aur is ka sawaab murdah ko hadiyah kar sakta hai


zaruri nahi hai ke jis ke ghar me inteqaal huaa hai sirf wahi log padhen ya sirf rishte'daar hi padhen


aek murda ke liae chand log masalan 10 log namaaze wahshat padh sakte hain, jetne zeyaadah log padhen otna hi behtar hai lekin chand murda masalan 10 murdon ke liae aek hi namaaze wahshat nahi padh sakte hain


baaqi tafsil niche recommend kiae ga'ae jawaab aur video me molaaheza farma len


  1. namaaze wahshat ka faaeda | ahamiyat | tariqa | waqt

  2. namaaz-e-wahshat ka sawaab | tariqa | waqt


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


7 / جمادى الاولى / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.