Imaam Ali (a.s) ka naam Ali kisne rakha | kaise ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, December 23, 2020

Imaam Ali (a.s) ka naam Ali kisne rakha | kaise ?

Sawaal Az : Mohtaram janaab Faisal Ali sb (Lahore)


Sawaal karta hun aap se ke jab moula ali a.s duniyaa me aaye to unka naam unke walid mohtram ne us waqt ke hakim waqt ke register me kya likhwaya tha ...


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم


Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ke daur me aur aap ke baad "Diwaan" the jis me logon ke naam aur taarikhe welaadat darj ki jaati thi albatta ye "Diwaan" zeyaadah tar faujiyon (فوجیوں) ke liae the


lekin baad me wus'at paiyda huei aur barjasta wa mohim aur naamwar afraad ke naam bhi ous "Diwaan" me likhe jaane lage aur taarikhe paiy'daaeish ya wafaat wa shahaadat sabt hone lagi


(fotuhul buldaan p 454 taalif ahmad bin yahya al maaruf ba bala zori)


Ahlebait (صلوات الله عليهم) ke naam, taarikhe paiy'daaeish aur taarikhe shahaadat ... ko aam taur par aap ke as'haab aur mohibbin sabt wa darj karte the aur maamulan aiysa hota tha ke oun taarikhon aur naam ko Maasumin (سلام الله عليهم) se marwi wa manqul ahaadis wa rewaayaat se daryaaft wa akhz (اخذ) karte the


jaiyse ye rewaayat jis ko shia wa sunni ne apni motabar ketaabon me naql kiya hai :


[ ...Hazrat Ali (عليه السلام) ki welaadat ke baad aap ke waaledaine geraami Janaabe Faatemah Binte Asad aur Hazrat Abutaalib (سلام الله عليهم) "Abu Qobais" pahaad ke oupar ga'ae aur Janaabe Abutaalib (علیه السلام) ne ash'aar ki surat me khoda se ilteja wa darkhaast ki ke ay khoda tu bata is nau'zaad ka naam keya rakhen ?


ousi waqt aasmaan se aek aawaaz aaei. aap ne apne sar ko baland kiya to aek sabz rang ki lauh (takhti) dekhi jo sabz "Zabar Jad" ke maanind hai, lauh ko liya aur sine se lagaaya ... jab ous par likhi tahrir dekhi to ye 4 misre likhe the :


خَصَصتُمَا   بِالوَلَدِ  الزَّكِى

وَالطَّاهِرِ المُنتَجَبِ الرَّضِى

وَ اِسمُهُ  مِن قَاهِرِ  العَلِى

عَلِى   اَشتَقَّ مِنَ   العَلِى


tum donon ko paak wa taahir aiyse farzand se khaas kiya jo mera bargozidah wa pasandidah hai


ous ka naam (khodaa'ae) baland wa qaahir ki jaanib se "Ali" rakha gaya ke (khoda ke naam) "Ali" se mushtaq kiya hai (ous se liya gaya hai) ]


tafsili rewaayat ke liae molaaheza karen mash'hur-o-maaruf sunni ketaab "yanaabioul mawaddah" jild 2 p 79 al baabus saadis wal khamsoon ke aakhir me


ye lauh aayaate aelaahi me se thi is me shak ki gunjaa'eish nahi hai ke Amirul Momenin ka naam "Ali" khoda ne rakha hai


aur ye naam aap ki paiydaa'eish ke hazaaron saal pahle lauhe mahfuz, arshe aelaahi, jannat ke darwaazon, aasmaanon aur aasmaani ketaabon ... me bhi likha tha


mazkurah baala baaton ke peshe nazar haakime waqt ke register ya diwaan me likhwaane ki zarurat nahi thi jo sab ka haakim hai ous ke register me Amirul Momeni Ali (عليه السلام) ka naam likha hai


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna aur video ka dekhna mofid hai انشاءالله


  1. imaam ali ka naam haidar kis ne rakha ? | is ka matlab | naam rakhne ka sabab

  2. 20 ramazaanul mobaarak ke doa ki wazaahat


    description : jannat me kitne darwaaze hain | oun darwaazon par Imaam Ali (عليه السلام) ka naam...


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


8 / جمادى الاولى / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube


No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen