namaaze shab padhne ka tariqah - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, January 26, 2021

namaaze shab padhne ka tariqah

sawaal az : khaahare geraami (Mumbai)


Namaz sab ka sahi Tarika kya hai


please mera naam mentioned na kijiyega


jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم

ye namaaz maj'muan 11 rak'at hai :


  1. 8 rak'at namaaze subh ki tarah ( 2 rak'at 2 rak'at kar ke ) namaaze shab ki niyat se padhi jaae

  2. 2 rak'at namaaze "shaf" ki niyat se qonut ke beghair padhi jaae

  3. aakhir ki 1 rak'at namaaze "watr" ki niyat se padhen phir qonut me 40 momin ( mard aur aurat zindah ya murdah ) ke liae doa aur talabe maghferat karen is ke baad khoda se apni haajaten ( khaah kisi bhi zabaan me ho ) talab karen

    kuch zikr aur doaaon ko padhna bhi behtar hai ( mafaatihul jenaan me dekh len ) is ke baad roku, sajde aur tashah'hud wa salaam anjaam den, namaaz khatm ho jaae gi


Note :


  1. agar 11 rak'at padhne ke liae waqt ya himmat ... na ho to aakhir ki sirf 3 rak'at yaani namaaze shaf aur watr padh sakti hain hatta sirf aek rak'at yaani namaaze watr bhi padh sakti hain, in 3 rak'at ki fazilat zeyaadah hai

  2. 40 momin ke liae doa karna, wozu ya niyat ... ki tarah namaaz ke sahih hone ki shart nahi hai balke sharte kamaale namaaz hai lehaaza 40 momin ke liae doa karna zaruri nahi hai

  3. qonut me kisi bhi zabaan me talab-e-haajat se pahle koei bhi doa ya zikr jaiyse salawaat ya subhaanallah padhen

Niche diae gae jawaab ko padhna mofid hai (انشاءاللہ)


  1. namaaze watr me doa karne ki ahamiyat | 40 momin ke liae doa karne ka tariqa | masaa'ael

  2. namaaze watr ke qonut me keya padhna chaahiae ? | tariqa | baith kar padhna

mazid tafsilaat ke liae site ke "Menu" me "Namaaz-e-shab" ka shoba dekh len




والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔12 / جمادى الثانى / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.