Tawaafe nesa | keya jis ne tawaafe nesa ada nahi kiya to miyaan biwi par aur biwi miyaan par haraam hon ge ? | raahe hal - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, January 27, 2021

Tawaafe nesa | keya jis ne tawaafe nesa ada nahi kiya to miyaan biwi par aur biwi miyaan par haraam hon ge ? | raahe hal

Sawaal az : +9199985.....


Salamun alaikum Wrb
Mashaallah Bahot Bahot umda aapne samjaya hai


Mera dusra bhi ek sawal tha jiska jawab isi me aa gaya hai
Sirf yahi bata dijiye ke Ramzanul Mubarak me mene apna Umrah kiya mukammal tawafun'nisa ke sath or 2 shawwal ko marhumin ki niyabat se kiya dusra Umrah kiya to Tawafun'nisa zaruri hai ya nahi


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ


ji "Tawaaf-e-nesa" aur "Namaaz-e-tawaaf" zaruri wa waajib hai, oumre ki taadaad ke aetebaar se tawaaf-e-nesa aur namaaze tawaaf-e-nesa baja laana zaruri hai yaani har oumre ke liae tawaaf-e-nesa wa namaaz-e-tawaaf waajib hai


agar tawaaf-e-nesa nahi kiya hai to aap khud makka'ae mokarramah jaa kar tawaaf karen wa namaaz padhen


agar jaana momkin nahi hai ya bahot sakht wa dushwaar hai to kisi ko naa'aeb banaa'aen taake wo tawaaf-e-nesa kare aur namaaz-e-tawaaf padhe


Sawaal :


agar aap khud ga'ae to jis ki taraf se aap ne oumrah kiya hai ous ki taraf se tawaaf-e-nesa karen aur namaaz-e-tawaaf padhen, apni taraf se nahi


lekin agar aap khud nahi jaa sake kisi ko naa'aeb banaaya to wo (aap ka naa'aeb) niyat keya karega ?


Jawaab :


qasd-o-niyat karega ke jis par tawaaf-e-nesa waajib wa laazim tha ous ki taraf se karta / karti hun ... aur jis par namaaz-e-tawaaf waajib wa laazim thi ous ki taraf se padhta / padhti hun ...


Note :


tawaaf-e-nesa aur ous ki namaaz agar'che haj wa oumra-e-mufradah me waajib hai lekin oun dono ke aamaal ka juz wa rukn nahi hai lehaaza agar tawaaf-e-nesa wa namaaz ko anjaam nahi diya to haj wa oumrah baatil nahi hoga sahih hai


lekin agar mard anjaam na de to aurat ous par haraam ho jaa'ae gi aur agar aurat anjaam na de to mard ous par haraam ho jaa'ae ga


aur agar naa'aeb ne tawaaf-e-nesa nahi kiya to mard / aurat, naa'aeb par haraam honge, jiski taraf se kiya hai (manub anho = منوب عنه) ous par haraam nahi hain


tawaaf-e-nesa wa namaaz bajaa laane ke baad aek dusre par halaal ho jaa'aen ge


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


7 / شوال / 1440 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.