covid - 19 marizon ke tibbi | hospitals ke staff roza kaise rakhen - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, April 19, 2021

covid - 19 marizon ke tibbi | hospitals ke staff roza kaise rakhen

Sawaal az : mohtaram janaab sohrab zaidi sb / lucknow


salaam alaikum,
Covid-19 Chal raha hai.. meri Duty Medical College me he. Roze ke baare me kya advice hai
Please help


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


baaz kaam yaa peshe aise hain jo bahot sakht aur dushwaar hain jaiyse kaar'khaane ki bahot garm bhat'ti (بھٹی) ke kenaare kaam karna yaa bahot hi garm aelaaqon me suraj ki garmi ke niche kheti karna yaa shadid garmi me tandur ke kenaare roti pakaana yaa kaanon (maadan) me kaam karna yaa registaani aelaaqe me garm lahr aur lu chalne ke dauraan trolley drivery ...


ye kaam aam taur par naa qaabile tahammul hain in ka mowaazanah kisi dusre kaamon se nahi kiya jaa sakta hai


Coronavirus ke marizon ka aelaaj karne waale haspataal ke amale (hospital staff) yaa tibbi amale (medical staff) yaa nurse ... ka kaam bhi mazkurah baala kaamon ki tarah bahot sakht wa dushwaar hai


hefaazati makhsus lebaas pahenna padta hai, ouse pahen kar chalne phirne me bhi mushkil hoti hai, saans lene me dushwaari hoti hai is ke aelaawah bhi bahot saare masaa'ael ka shekaar hain


zaahir hai Covid - 19 marizon ke tibbi amale, nurse aur haspataal ke amale ... ka mowaazana kisi dusre tibbi aur haspataal ke amale se nahi kiya jaa sakta hai, donon ke kaamon me farq hai in ka kaam bahot sakht wa dushwaar hai


jis ka kaam bahot sakht wa dushwaar hai jaiyse Corona marizon ke aelaaj par maamur haspataal ke amale, tibbi amale aur nurse waghaiyrah


oun sab ke liae aek hi advice aur jawaab hai wo ye hai ke ayse wa mota'allaqah afraad ke liae chand option hain :


  1. agar momkin ho to maahe ramzaan me aek mahine ki chhut'ti le len aur ous dauraan roze rakhen

  2. agar chhut'ti lena momkin na ho masalan kaha jaa'ae ke haspataal ke aur tibbi amale ... kam hain aur Corona jaiyse mohlik virus ke mariz ki taadaat me roz ba'roz aezaafa ho raha hai chhut'ti nahi mil sakti hai to kaam ki shift (shift work) badal den masalan din me sirf chand ghante kaam karen aur din ke baaqi hisse me aaraam karen ... ya din ke bajaa'ae raat ki shift (night shift) me kaam karen aur din me roze rakhen aur aaraam karen

  3. agar ye momkin na ho to har roz taqriban 22.5 (jaana aana milaakar 45) km safar karen taake shar'ei mosaafir ban jaa'aen aur wahaan jaakar kuchh khaa pi len aur kaam par laut aa'aen, baad me roze ki qaza rakhen

  4. agar mazkurah aeqdaamaat wa option momkin na hon to aakheri raasta aur option ye hai ke roza rakhen is liae ke azaane subh ke waqt koei ouzr wa mushkil nahi hai

  5. aur din me hefaazati lebaas, mask waghaiyrah ki wajah se mushkil ho jaa'ae misaal ke taur par saans lene me is tarah dushwaari ho ke roza rakhna haqiqat me dushwaar ho ya kaam ke dabaao ke baa'aes aetni thakaawat huei hai ke roza rakhna bahot sakht hai


    mokhtasar ye ke roza rakhna ousr-o-haraj ka baa'aes ho yaani qaabile tahammul wa bar'daasht na ho, rakhna bahot mushkil ho jaa'ae to mokhtasar kuchh khaa pi kar roza tod (توڑ) sakte hain


    aur انشاءالله ramzaanul mobaarak ke baad aam haalat (normal condition) me sirf qaza rakhen kaffaarah nahi hai is liae ke is par jaan bujh kar roza todne ka hukm laagu wa jaari nahi hoga


Niche recommend kiae gae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله



والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


7 / رمضان المبارک / 1442 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.