Ramzaanul mobaarak me telaawate qur'aan ki fazilat | telaawat ka waqt na ho to keya karen ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, April 15, 2021

Ramzaanul mobaarak me telaawate qur'aan ki fazilat | telaawat ka waqt na ho to keya karen ?

Sawaal az : +9194153.....


Salaam alaikum, huzoor mai roze rakhta hu par ramzan me duty ki wajah se quran padhne ka waqt nahi mil pata hai to kya karu


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


rozah rakhna waajib hai lekin qur'aan padhna waajib nahi hai, mustahab hai


lehaaza jetna ho sake qur'aan majid ko waqt den aur kam az kam har roz 50 aayaat padhne ki koshish karen yaa qur'aan me se jetna aap par aasaan ho outna padhen agar aetna bhi waqt nahi hai to ach'chhi niyat ka sawaab mile ga انشاءالله


malhuz khaatir rahe ke aayaat aur rewaayaat me telaawate qur'aan ki bahot taakid wa sefaarish ki gaei hai khaas taur par maahe ramzaan me bahot zeyaadah taakid ki gaei hai


Imaam Reza (عليه السلام) ka irshaade geraami hai :


... مَن قَرَأَ فِى شَهرِ رَمَضَانَ آيَةََ مِن كِتَابِ اللهِ عَزَّوَجَلَّ كَانَ كَمَن خَتَمَ القُرآنَ فِى غَيرِهِ مِنَ الشُّهُورِ


"... jo shakhs maahe ramzaan me khodaa'ae saahebe izzato jalaal ki ketaab se aek aayat padhe to wo ous shakhs ki tarah hai jo dusre mahinon me tamaam qur'aan ko padhe (yaani is mahine me aek aayat ki telaawat ka ajro paadaash dusre mahinon me pure qur'aan ki telaawat ke baraabar hai)


(behaarul anwaar jild 93 p 341)


Imaam Baaqir (عليه السلام) ne farmaaya :


لِكُلِّ شَئٍ رَبِيع وَ رَبِيعُ القُرآنِ شَهرُ رَمَضَانَ


"har chiz ki bahaar hoti hai aur qur'aan ki bahaar maahe ramzaan hai"


(osule kaafi jild 2 p 630 ketaab fazlul qur'aan)


mausame bahaar shoru hota hai to baarishon ka silsila shoru ho jaata hai, murdah zaminen zindah hoti hain, mausame bahaar baaghon ko raunaq bakhshta hai, phul khilne lagte hain, har taraf sabzah hi sabzah nazar aata hai, mezaajon me qudrati taur par aek khush'gawaar tabdili laata hai ...


maahe ramzaan me qur'aan karim ki telaawat se aysa hi hota hai


qur'aan dil ko sar'sabzo shaadaab banaata hai, aaludgi se paak karta hai, murdah dil ko zindah karta hai ...


mokhtasar ye ke qur'aan karim dilon ki bahaar hai aur ramzaanul mobaarak me naazil huaa, is aetebaar se qur'aan hakim aur ramzaan karim ka gahra ta'alluq hai


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله


  1. chhat par baith kar | alag alag paare padhna | mahalle telaawat | rozaana ketna qur'aan padhna chaahiae ?

  2. jute ya chappal pahen kar qur'aan ki telaawat | tasbih | namaaz padhna | telaawat ke aadaab

والسلام

syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat- azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


2 / رمضان المبارك / 1442 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.