keya aehtelaam se roza tut jaata hai ? | fauran ghusl karna waajib hai ? | nahaane ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, April 21, 2021

keya aehtelaam se roza tut jaata hai ? | fauran ghusl karna waajib hai ? | nahaane ka hukm

Sawaal az : khaahare geraami


Salamun alaikum wrwb


Jaise ki mai roze se hu subh ki namaaz padh kar soo gaei aankh khuli to najaasat me hun to keya ghusl karne se roza sahi hai ya baatil hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar najaasat se moraad aehtelaam (nind me naa'paak) hona hai to roza baatil nahi hoga sahih hai albatta namaaz ke liae aur dusre din roza rakhne ke liae azaane subh se pahle ghusl zarur kar lena chaa'hiae


aur agar najaasat se moraad maahwaari (haiz) hai to is ka hukm niche diae (Recommend) ga'ae jawaab me molaaheza farma len



Note :


agar roze daar din me mohtalim ho (yaani khaab me ous ki mani khaarij ho jaa'ae) to waajib nahi hai ke fauran ghusl kare lekin behtar wa mustahab ye hai ke jaldi ghusl kare is liae ke haalate najaasat me rahna behtar nahi hai


ghusl karne ya nahaane se roza baatil nahi hoga albatta nahaana kamzori ka sabab bane to nahaana makruh hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


8 / رمضان المبارک / 1442 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.