haalate roza me shahwaani manaazir dekhne | sochne se mani nikal jaa'ae to roze ka keya hukm hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, April 21, 2021

haalate roza me shahwaani manaazir dekhne | sochne se mani nikal jaa'ae to roze ka keya hukm hai ?

sawaal az : beraadar ya khaahare geraami


Asslamun alekum


mera ek sawal tha Ki Agar ladies ko roze me Kuchh sochne se ya Kuchh dekhne se Mani nikal jaye to kya roza mana jayega ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته


agar inzaal wa mani khaarij karne ka qasdo aeraadah nahi tha lekin mani nikal jaa'ae to roza sahih hai


aur isi tarah agar aap ko apne oupar aetemaad ya itminaan tha ke mani khaarij nahi hogi lekin ittefaaq se be'aekhteyaar aur bela qasd mani khaarij ho jaa'ae to roza sahih hai


lekin agar mani nikaalne ka qasd tha ya maalum wa yaqin tha ke mani nikal jaa'ae gi aur mani khaarij ho jaa'ae to roza baatil ho jaa'ae ga (tut jaa'ae ga) qaza ke aelaawah kaffaarah bhi waajib hai


mazid maalumaat ke liae niche recommend kiae gae jawaab ko padh len


  1. keya Roze ki haalat me biwi (wife) ke saath sona our bos-o-kenaar... karna jaa'aez hai ? our inzaal ki surat me kaffaarah ka hukm...

  2. Roze ki haalat me keya shahwaani kheyaalaat se roza baatil ho jaa'ae ga ?

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


8 / رمضان المبارک / 1442ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.