keya auraton ko bhi aehtelaam hota hai ? | tashkhis karne ka tariqa - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, July 17, 2021

keya auraton ko bhi aehtelaam hota hai ? | tashkhis karne ka tariqa

Sawaal az : khaahare geraami


Kiya auraton ko bhi ehtelaam hota hai ?


marjah Syed Ali khamnai


Mera naam show na Kiya jaaye shukriya

Regards,

.....


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم


ji haan auraton aur ladkiyon ko bhi aehtelaam hota hai


aehtelaam aur mani ki tashkhis karne ke tariqe :


agar khawaateen ki jinsi laz'zat, lutf outhaana aur shahwat oruj ko pahunch jaa'ae aur jinsi taskeen mokammal ( orgasm ) ho jaa'ae aur ous haalat me ( yaani intehaaei laz'zat ke saath ) ous se paani ki tarah ka maad'dah ( mani ) khaarij ho to jonub ( جُنُب ) ho jaa'ae gi (zaruri nahi hai ke mardon ki tarah ouchhal ( اچھل ) kar nikle aur ous ke khaarij hone ke baad jism sust wa dhila pad jaa'ae ) lehaaza jin aamaal ke liae tahaarat shart hai ( jayse namaaz aur roza ...) ous ke liae ous par ghusl-e-janaabat waajib ho jaata hai


aur agar jinsi laz'zat inteha wa oruj par na pahunche aur paani ki tarah ka maad'dah khaarij ho ya jinsi laz'zat oruj ko pahunch jaa'ae lekin paani ki tarah ka maad'dah khaarij na ho ya shak kare ke jinsi laz'zat oruj ko pahunchi hai ya nahi ? ya shak kare ke paani ki tarah ka maad'dah khaarij huaa ya nahi ? to in tamaam suraton me jonub nahi hogi aur ghusl zaruri nahi hai


Mokhtasar ye ke :


agar aurat ko yaqeen ho jaa'ae ke mani nikli hai tab jonub hogi aur ghusl waajib hoga aur agar yaqeen na ho to jonub nahi hogi


benaabar'ein agar mokhtasar wa thoda jinsi lutf outhaa'ae aur ous haalat me ous se koei rotubat khaarij ho to jonub nahi hogi is liae ke jinsi laz'zat wa shahwat oruj ko nahi pahunchi hai aur khaarij hone waali rotubat paak bhi hai aur wozu wa ghusl ko baatil nahi karegi



Note :


  1. shahwat angez baat karne ya sunne ya padhne ya shahwat angez manaazir dekhne ya bad nazari ya bure khayaalaat ya shuhar ke saath khelne wa dil lagi karne ۔۔۔se jo rotubat auraton wa ladkiyon se nikalti hai ous ka hukm bhi wahi hai jo oupar bayaan kiya gaya

  2. AEHTELAAM yaani sote me mani ka nikalna

Niche recommend kiae gae jawaab ko padhna mofeed hai انشاءالله




والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


6 / ذى الحجه / 1442ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.