Khaarij hone waali rotubat mazi | wazi | wadi paak hai ? keya ous me ghusl | wozu waajib hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, October 22, 2018

Khaarij hone waali rotubat mazi | wazi | wadi paak hai ? keya ous me ghusl | wozu waajib hai ?

Sawaal az : .....


سلام عليكم مولانا

Hamara sawaal ye hai ki mani ke elaawa dhat ya pani ke nikalne se kya ghusl waajib hoga.


Please mera naam ya number share mat kijiyega


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


  1. Mazi (مذى) :

  2. ous paani ko kahte hain jo aam taur par miyaan biwi ke khelne ke baad ya shahwat bhadkaane waala manzar dekhne ke baad ya shahwat ang'gez khayaal ke baad beghair ouchhle nikalta hai
    is ki meqdaar mani se bohat kam hai


  3. Wazi (وذى)

  4. ous paani ko kahte hain jo mani khaarij hone ke baad kabhi nikalta hai


  5. Wadi (ودى)

  6. ous paani ko kahte hain jo peshaab ke baad kabhi nikalta hai mokhtasar safed wa chipka hua (چمٹا ہوا) rahta hai


paani (rotubat) ki ye tamaam aqsaam khaah mard se nikle ya aurat se paak hain ba'sharte ke peshaab wa mani se aaluda na hon aur ghusl wa wozu ko bhi baatil nahi karte hain


Mazeed tafsil ke liae tauzihul masaa'ael dekh len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna, shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


8 / شوال / 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube


.