keya pahle oumrah ka tawaafe nesa kiae beghair dusra oumrah kar sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, July 1, 2021

keya pahle oumrah ka tawaafe nesa kiae beghair dusra oumrah kar sakte hain ?

Sawaal az : +9665518....


Salamun alaikum wrb


Abhi 1 saal se zayada ka waqt ho gaya hai aur Umrah kiya tha aur mera tawafunnisa baaqi rah gaya tha
aur uske baad moqa nahi mila use anjam dene ka aur abhi sirf Umrah ke liye permission mil rahi hai to kya me Umrah kar sakta hu ya pehle tawafunnisa karna zaruri hai
Kyu ke utne waqt ki permission nahi mil sakti ke pichhla tawafunnisa bhi karu aur Umrah bhi


Aap tafsili jawaab marhamat farmaye
Shukriya 🙏


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


ji haan, oumrah kar sakte hain ous se pahle tawaaf-e-nesaa karna zaruri nahi hai lekin 2 tawaaf-e-nesaa karna aur tawaaf ke baad ous ki namaaz padhna zaruri hai (aek tawaaf-e-nesaa pahle oumre ka aur dusra tawaaf-e-nesaa dusre oumre ka)


bas yaad rahe ke tawaaf-e-nesaa ke beghair oumrah sahih hai lekin ous (tawaaf-e-nesaa) ki adaa'eigi se pahle biwi haraam hai ous se izdewaaji ta'alluqaat qaa'aem nahi kar sakte hain


mazid tafsilaat ke liae niche recommend kiae ga'ae jawaab ko molaaheza farmaa len



Eiltemaase doa


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


21 / ذيقعده / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.