Hazrate Zainab ki taarikhe shahaadat | wafaat | sababe shahaadat - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, February 16, 2022

Hazrate Zainab ki taarikhe shahaadat | wafaat | sababe shahaadat

Qs from : mohtaram janaab Abbas kazmi sb. (lucknow)


Salam agha hame aap aaj ki jo shahadat hai 15 rajab janaabe zainb s.a ki to uska reference de payege aaj hi 10 baje tak


Jawaab :


Alaikum assalam wrwb


Taarikhe shahaadat ya wafaat me aekhtelaaf hai, mash'hur wa maaruf aur yaqini 15 rajab hai


Reference :


  1. Zainabul Kubra menal mahd-e- aelal lahad page No 591 taalif Syed Mohammad Kaazim Qazwini naashir daarul ghadeer

  2. zinde'gaaniye hazrat Zainab (سلام الله عليها) page No 386 taalif Doctor Ali Qaa'aemi naashir ameeri

Sababe shahaadat ya wafaat :


  1. Khufyah heela (حیلہ) aur aap ke khelaaf saazish kar ke yazid (لعنةالله عليه) ki taraf se aap ko zahr diya gaya lehaazaa shahaadat ka sabab zahr hai


    Ba'eid nahi ke aap ko zahr dena mokammal taur par makhfi rakha gaya, isi wajah se logon par aap ki shahaadat makhfi hai aur taarikh me chhupi rah gaei


    (zainabul kubra menal mahde aelal lahad page 591-592 taalif syed mohammad kaazim qazwini naashir daarul ghadeer)

  2. baaz mowarrekhin ke motaabiq aap Yazide palid (لعنةالله عليه) ki taraf se masaa'aeb aur mushkelaat ki wajah se mariz huein lehaaza bimaari ki wajah se aap ki wafaat huei


    (muntakhabut' taarikh page 67)


  3. Dono surat ka natija shahadat hi hai


Shia wa sunni ki kisi bhi motabar ketaab me nahi hai ke ma'aazallah aap gharq-e-aab huei'n, ye Ahlebait (صلوات الله عليهم) ke dushmano ka ghalat propaganda hai oun par khoda ki laanat ho


w.salam

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


15 / رجب / 1436 ھ.ق

Subscribe us on youtube

2 comments:

Comment

.