Haalate janaabat me haiz shoru ho jaa'ae to ghusl ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, February 19, 2022

Haalate janaabat me haiz shoru ho jaa'ae to ghusl ka hukm

Sawaal az : mohtarama janaab Samaana razavi sb / Zangipur


Salam

mera do sawal hai ki agar janabat me ham chale gaye ghusl lena zaruri hai aur usi dauran haiz ki haalat me ho gaye to jab haiz katam ho jaye to dono ghusl lena hoga ya sirf ghusl haiz

jawab ki muntazir ho


taqlid : Aytullah sistani


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


ghusle janaabat sirf namaaz aur oun kaamon wa aebaadaat ke liae waajib hota hai jin ke liae tahaarat shart hai lehaaza ghusle janaabat se pahle maahwaari shoru hone ki wajah se janaabat ka ghusl waajib na raha albatta aiysi aurat / ladki ko aekhteyaar hai, chaahe to abhi ghusle janaabat kar le, ghusl sahih hai, janaabat se paak ho jaa'ae gi aur maahwaari se paaki ka ghusl paak hone ke baad kare, ya chaahe to intezaar kare maahwaari ke khatm hone ke baad ghule janaabat aur haiz kare


Maahwaari ke dinon me ghusle janaabat nahi kiya to maahwaari ke khatm hone ke baad darj zail suraton me se kisi ek ke motaabiq amal kar sakti hai, aekhteyaar hai :


  1. donon ghusl ki niyat se sirf ek hi ghusl kar le masalan niyat kare ke ghusle janaabat aur haiz karti hun qurbatan aelallah aur ek hi ghusl kare kaafi hoga

  2. donon ki niyat se 2 daf'ah alag alag ghusl kare aur jis ko chaahe pahle kare koei farq nahi padta

  3. agar donon me se kisi ek ki niyat kar ke ghusl kare dusre ki niyat aslan na kare tab bhi kaafi hai lekin ye hukm motawas'setah istehaazah ke ghusl par laagu wa jaari nahi hoga agar is ko bajaa laa'ae to aehteyaate waajib ke taur par is ko dusre waajib ghuslon ke liae kaafi na samjhe

mazid tafsil ke liae niche diae ga'ae jawaab me "Note" ke point "No.2" ko padh len



Note :


dusre sawaal ka jawaab baad me diya jaa'ae ga انشاءالله


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


17 / رجب / 1443 ھ.ق

No comments:

Comment

.