Imaam Husain ke naam par qurbaani karna kaisa hai ? | keya shia bismillah ke bajaa'ae Imaam ka naam lete hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, February 20, 2022

Imaam Husain ke naam par qurbaani karna kaisa hai ? | keya shia bismillah ke bajaa'ae Imaam ka naam lete hain ?

Sawaal az : mohtarama janaab Saniye Zahra sb (Patna)


Salamun alaikum maolana sahab


Mera ek sawal hai ke kya maola Hazrat imam Hussain a.s ke naam se qurbani krwa skte hain


Saniye zahra from patna

Shukriya


Jawaab :


باسمه تعالى

يا صاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


sawaal ke peshe nazar qurbaani ki 3 suraten hain :


  1. khoda ki raah me qurbaani karen lekin ous ka sawaab Imaam Husain (عليه السلام) ko hadiyah kar den

  2. Imaam Husain (عليه السلام) ki taraf se qurbaani karen yaani aap ki neyaabat me karen

  3. nazr aur man'nat ki qurbaani ho, nazr-o-man'nat maanen masalan mai imtehaan me pass ho gaei to Imaam Husain (عليه السلام) ke naam par qurbaani karaa'oun gi


    momeneen is qurbaani ko Imaam Husain (عليه السلام) ki nazr kahte hain


mazkurah suraton ke motaabiq qurbaani karna na sirf ye ke jaa'aez hai balke baa'aese ajr-o-sawaab hai aur qurbe aelaahi ka behtarin zari'ah bhi


Imaam Husain (عليه السلام) khoda ki baargaah me qurbaani karne waale ke liae doa aur roze qeyaamat shafaa'at karen ge انشاءالله


qurbaani karne ke oukhrawi, dunyawi aur ma'aashi faa'aede bhi bahot hain


Note :


  1. nazr aur mannat ke ta'alluq se niche recommend kiae ga'ae jawaab ko zarur padh len

  2. wahaabi wa takfiri kahte hain ke shia qurbaani karte waqt "bismillah" ke bajaa'ae Imaam Husain ya dusre Imaamon (سلام الله عليهم) ka naam lete hain lehaaza jo qurbaani shia karte hain wo ghair khoda ke liae hai aur shirk hai isi wajah se ous ka gosht najis hai aur khaana haraam


    yahaan mai is hawaale se bahs nahi karna chaahta lekin aetna arz kar dun ke khabees aur paleed wahaabiyon wa takfiriyon ka ye qadimi safed jhut hai jo saadah lauh (سادہ لوح) musalmaanon ko dhoka dene ke liae bolte hain


    haiyrat aur ta'ajjub ki baat hai ke wahaabiyon ke sarghana "Ibne Taiymiyah" naasebi ka fatwa hai ke "agar yahudi gosfand (jaanwar) ko zabh kare to ous ka gosht khaa'ounga lekin agar aek raafezi (shia) zabh kare to ous ka gosht hargiz nahi khaa'oun ga"


    shia Ahlebaite Nabi (صلوات الله عليهم) se mohabbat karte hain is liae shion se bughz-o-aenaad ki had ho gaei !!!



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


18 / رجب / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.