Pet me maujud ya paiydaa'eish ke baad bach'che ki taraf se fitrah dene ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, April 30, 2022

Pet me maujud ya paiydaa'eish ke baad bach'che ki taraf se fitrah dene ka hukm

Sawaal az : khaahare geraami (Mumbai)


Maa ke shikam me jo bachcha hai uska fitra wajib hai❓


guzaarish hai ke mera naam na show kiya jaaye


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


jo bach'cha ya haml maa ke pet me hai ous me jaan pad gaei ho ya na padi ho ous ki taraf se fitrah dena waajib nahi hai


isi tarah agar ghorube aaftaab ke baad, eid ka chaand nikalne ke baad yaani shabe eide fitr jo bach'cha paiyda ho jaa'ae to ous ki taraf se bhi fitrah dena waajib nahi hai albatta agar suraj dubne se pahle yaani shabe eide fitr ke qabl jo bach'cha paiyda ho jaa'ae to ous ki taraf se fitrah dena waajib hai


Tabserah :


jo bach'cha ya haml maa ke pet me hai ya jo suraj ghorub hone ke baad paiyda huaa ous ka fitrah waajib nahi hai lekin ous ki hefaazat ke liae nikaalna khoda ke nazdik pasandidah kaam aur behtar amal hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


28 / رمضان المبارک / 1443ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.