Mosaafir ke liae had'de tarakh'khus par pahunchne se pahle roza todne ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, April 28, 2022

Mosaafir ke liae had'de tarakh'khus par pahunchne se pahle roza todne ka hukm

Sawaal az : mohtaram janaab Ghulam Hussain (patna)


Salamun Alykm.


Agar ham safar par jaane wale hain aur 10 din se kam dino ke liye aur safar subh 10 bje se raat tak ka hai to jis din safar krenge uss din fajr ke baad se kuchh khana jayez hai ya nahi jab tak safar par sawaar nahi hue hain ?


Aur agar kha liye safar par niklne se phle to kya kaffara ada krna hoga iss roze ka ?


Name: Ghulam Hussain
City: Patna


Marja: Ayt Seestani.


Wassalam.


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام ورحمةالله و بركاته


agar ramzaan ke mahine me shar'ei mosaafir ka raat me safar ka aeraadah ho aur zohr se pahle safar ke liae nikla to had'de tarakh'khus par pahunchne ke pahle roza nahi tod sakta, jaa'aez nahi hai. is liae ke had'de tarakh'khus se nikalne ke pahle mosaafir ke ahkaam laagu nahi hote


baaqi jawaab niche recommend kiae ga'ae jawaab me molaaheza farma len



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


26 / رمضان المبارک / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.