May'yit ko qabr me outaarne ka tariqa | dafn se pahle qabr ke nazdik 3 martabah rakhne ki hikmat - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, April 21, 2022

May'yit ko qabr me outaarne ka tariqa | dafn se pahle qabr ke nazdik 3 martabah rakhne ki hikmat

Sawaal az : mohtaram janaab Hussaini sb


Ek. Chiz batao Bhai ke qabristan jaate waqt may'yit ko 3 baar roka keyun jaata hai


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


dafn ke mustahab'baat me se aek mustahab ye hai ke janaaze ko achaanak wa fauran dafn na karen balke pahle qabr se taqriban aek ya derh (1 ya 1.5 / ایک یا ڈیرھ) meter ke faasele par rakhen aur aahista aahista (rafta rafta) 3 martaba qabr ke nazdik le jaa'aen aur har martaba zamin par rakhen aur outhaa'aen aur chauthi martaba outhaane ke baad qabr me outaar den


waazeh rahe ke agar may'yit mard ho to tisri martaba me zamin par is tarah rakhen ke ous ka sar qabr ki nichli jaanib ho aur chauthi martaba me sar ki jaanib se qabr me outaaren


aur agar may'yit aurat ho to tisri martaba me qabr se qibla ki jaanib rakhen aur chauthi martaba me sar ya pair ki jaanib se qabr me na outaaren balke sidha, chit yaani pusht ke bal qabr me laa'aen


Dafn se pahle zamin par rakhne ki hikmat :


hikmaton me se aek hikmat ye hai ke qabr me azaab, khauf, wahshat aur khauf'naak wa khatar'naak haalaat ... hain haqiqat ye hai ke insaan marne ke baad aek aiysi naei jagah aur zindagi me daakhil hota hai jis se maanus nahi hai


ous ko qabr ke nazdik zamin par rakhte hain taake may'yit ki ruh jo janaaze ke hamraah hai baa'aasaani qabr ki wahshat wa dahshat ... ko bar'daasht kar sake, aalame jadid (barzakh) se maanus ho sake aur may'yit qabr me jaane aur sawaal ka jawaab dene ke liae khud ko aamaadah kar sake


aam taur par aysa hota hai ke agar kisi shakhs ko achaanak haakim ke paas le jaa'aen to dar aur ghabraahat se ous ke saamne ous ki zabaan band ho jaati hai lekin agar raftah raftah, marhala'waar le jaa'aen to ous ka saamna karne ka khauf nahi rahta ya kam ho jaata hai


mazkurah baala baaton ke peshe nazar feqhi ketaabon me zikr hai ke achaanak dafn na karen balke pahle qabr se nazdik 3 martaba zamin par rakhen


Maasumin (سلام الله عليهم) se marwi mota'addid rewaayaat me bhi is amr ki sefaarish ki gaei hai


misaal ke taur par sirf aek rewaayat molaaheza farma len:


Maasum (علیه السلام) ka irshaad-e-geraami hai :


" إِذَا أَتَيْتَ بِالْمَيِّتِ الْقَبْرَ فَلَا تَفْدَحْ بِهِ الْقَبْرَ فَإِنَّ لِلْقَبْرِ أَهْوَالًا عَظِيمَةً وَ تَعَوَّذْ مِنْ هَوْلِ الْمُطَّلَعِ وَ لَكِنْ ضَعْهُ قُرْبَ شَفِيرِ الْقَبْرِ وَ اصْبِرْ عَلَيْهِ هُنَيْئَةً ثُمَّ قَدِّمْهُ قَلِيلًا وَ اصْبِرْ عَلَيْهِ لِيَأْخُذَ أُهْبَتَهُ ثُمَّ قَدِّمْهُ إِلَى شَفِيرِ الْقَبْر "


Tarjamah wa mafhum :


"jab may'yit ko qabr ki jaanib laa'o to qabr ko ous par geraan'baar wa dushwaar na karo keyon ke qabr ke liae sakht wahshat aur dahshat hai, qabr me jaane ka waqt may'yit ke liae sakht, dushwaar aur hasrat'naak hai (ous se may'yit baa'qaa'aedah taur par aagaah ho jaati hai is liae ke pardah aankhon ke saamne se hat jaata hai lehaaza) ous ke khauf se (Allah) ki panaah maango (aur qabr me fauran wa achaanak daakhil na karo) balke qabr ke kenaare se nazdik ous ko zamin par rakho aur mokhtasar sabr karo phir ous ko kuchh aage karo aur sabr karo taake may'yit qabr me jaane ke liae aamaadah ho jaa'ae phir ous ko qabr ke kenaare ki jaanib aage karo"


(aelalush sharaa'ae jild 1 p 306 baab 251 taalif shaikh saduq)

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat -Azim Aabaad / patna- shoba-e-sawaalaat Qum / iran


18 / رمضان المبارک / 1443 ھ.ق


◾شب قدر اور شب ضربت امیر المومنین علی (عليه السلام)◾

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.