keya roze ke kaffaara me raqam de sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, April 23, 2022

keya roze ke kaffaara me raqam de sakte hain ?

Sawaal az : khaahare geraami


Swkm sarkar, agar bimari ki wajah se roza nahi rakh pati hu aur monthly problem ki wajah se, to ek din ki kitni rakam deni hogi


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


kaffaarah me faqir ko raqam (paiyse) nahi de sakti hain ye kaafi nahi hai lehaaza khaane ki chizen (ta'aam) den


khaane ki chizon ka intekhaab khud kar sakti hain agar kisi ki maali haalat ach'chhi nahi hai to wo khaane ki sasti chizen de sakta hai


waazeh rahe ke kaffaarah me wazn ke intekhaab ka aekhteyaar kisi ke paas nahi hai, 750gr. se kam nahi de sakte


baaqi jawaab niche recommend kiae ga'ae jawaab me padh len


  1. Pet ke mariz ya dusre marizon ke liae roza rakhne ka keya hukm hai ? aur noqsaan deh hone ki suraten

  2. haiz ki mokhtalif haalat me roza ke ahkaam

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna- shoba-e-sawaalaat Qum / iran


21 / ماہ رمضان / 1443ھ.ق


روز شہادت نفس رسول امیرالمومنین علی (عليهم السلام)

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.