Sawaal az : +9199985....
Salamun alaikum wrb
Umra ke 7 Tawafe KABA ke bad jo namaz Maqaame Ibhrahim ke qareeb padih jati hai
agar jagah nahi hai to kitni duri par namaz padh sakte hai
aur Kya umrah ke saei-e-safa marwa karte waqt Kya pani pi sakte hai
Shukriya
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام ورحمةالله و بركاته
- Waajib tawaaf (tawaafe haj, umrah aur tawaafe nesa) ke baad 2 rak'at namaaz pushte maqaame ibraahim par padhi jaati hai agar bhid (بھیڑ) ki wajah se pushte maqaame ibraahim ke bahot zeyaadah qarib nahi padh sakte to maqaame ibraahim ke pichhe jetna qarib padhna (momkin) ho sake wahin padhen bas pushte maqaame ibraahim saadiq aa jaa'ae
- ji pi sakte hain.
paani pine se saei wa tawaaf baatil nahi hota
mustahabbi tawaaf ke baad namaaze tawaaf masjidul'haraam me kisi jagah bhi padh sakte hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
9 / شعبان / 1439 ھ.ق
No comments:
Comment