Shauhar ki aejaazat ke beghair hajj par jaane ka hukm | saahebe istetaa'at ke liae hajj par jaana mushkil ho to keya hukm hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, June 27, 2022

Shauhar ki aejaazat ke beghair hajj par jaane ka hukm | saahebe istetaa'at ke liae hajj par jaana mushkil ho to keya hukm hai ?

Sawaal az : +91941538...


Swkm, sarkar ek mohtarma jo service me thi retire ho gai hai unke shauhar se 15 salo se koi talluque nahi hai, aana jana baat cheet kuchh bhi nahi hai na hi talaq hi hua hai wo inse alag rahtey hai, inke ek beta hai, mohtarma HAJ karney jana chahti hai, kya shauhar ki permission zaroori hai, agar ha hai to koi baat nahi agar unhone mana kar diya to kya mai haj per ja sakti hu.


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar mohtaramah saahebe istetaa'at hon to haj ke liae jaana oun par waajib hai, shauhar se aejaazat lena zaruri wa shart nahi hai


aiysa ouzr ho jis ki wajah se khud mohtaramah waajib haj ke aamaal bajaa laane par qudrat nahi rakhtin to aap oun ki taraf se sharaa'aet ke motaabiq haj kar sakti hain


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad - Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


27 / ذى القعده / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.