Sawaal az : mohtarama janaab Fatima Husain sb
Salam Alaikum,
Agar Ashoor ke din naukri ke liye majburan jaana pade to is din ki ujrat ko sarf kahan karne ka hukm hai ?
Regards,
Fatima Husain | fatima...@gmail.com
Jawaab :
باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
oujrat haraam nahi hai, halaal hai
is raqam ka masraf (kharch karne ki jagah) mota'aiy'yan wa moqarrar nahi hai, aap ko aekhteyaar hai ke jahan chaahen kharch kar len, masalan apne aur apne gharelu aekhraajaat me, apne ya apne bach'chon ki taalim par ya majaalis waghairah ya kisi bhi kaare khair me kharch kar sakti hain
waazeh rahe ke kasir rewaayaat me Aashurah ke din kaam karne ki sakhti se mazammat ki gaei hai
Imaam Reza (علیه السلام) se manqul hai :
" مَنْ تَرَكَ السَّعْيَ فِي حَوَائِجِهِ يَوْمَ عَاشُورَاءَ قَضَى اَللَّهُ لَهُ حَوَائِجَ الدُّنْيَا وَ الْآخِرَةِ وَ مَنْ كَانَ يَوْمُ عَاشُورَاءَ يَوْمَ مُصِيبَتِهِ وَ حُزْنِهِ وَ بُكَائِهِ جَعَلَ اللَّهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ يَوْمَ فَرَحِهِ وَ سُرُورِهِ وَ قَرَّتْ بِنَا فِي الْجَنَّةِ عَيْنُهُ وَ مَنْ سَمَّى يَوْمَ عَاشُورَاءَ يَوْمَ بَرَكَةٍ وَ اِدَّخَرَ لِمَنْزِلِهِ فِيهِ شَيْئاً لَمْ يُبَارَكْ لَهُ فِيمَا اِدَّخَرَ وَ حُشِرَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ مَعَ يَزِيدَ وَ عُبَيْدِ اللَّهِ بْنِ زِيَادٍ وَ عُمَرَ بْنِ سَعْدٍ لَعَنَهُمُ اللَّهُ فِي أَسْفَلِ دَرْكٍ مِنَ النَّارِ "
"Jo shakhs Aashurah ke din apni zaruraton ke liae koshish karna chhod de (kaam na kare) to khoda ous ki dunya wa aakherat ki haajaten puri kare ga aur jis ne Aashurah ke din ko apni mosibat, apne gham aur apne rone ka din banaaya, khoda qeyaamat ke din ko ous ki khushi aur masarrat ka din banaa'ae ga aur ous ki aankhen hamaare (Ahlebait علیهم السلام) ke didaar se thandi hongi, aur jis ne Aashurah ke din ka roz-e-barkat naam rakha aur is din apne ghar ke liae kuchh zakhira kiya to khoda ous zakhire me ous shakhs ke liae barkat nahi dega aur qeyaamat ke din ouse Yazid, Obaiydullah Bin Zeyaad aur Omar Bin Saad (jahannam ki sabse nichli tarin gahraaeiyon me in par khoda ki laanat ho) ke saath mahshur kare ga"
Hawaalah
- Aeqbaalul Aamaal - jild 2 - safha 578 - taalif Saiy'yid Bin Taawus
- Aelalush sharaa'ae - jild 1 - safha 227 - taalif Shaikh Saduq
Tabserah :
hadis me Ahlebait (علیهم السلام) ke didaar ko aankh ki thandak se taabir kiya gaya hai
aankh ki thandak se moraad wo makhsus lazzat wa khaif, lutf andoz hona aur raahat wa sokun hai jo mahbub ko dekh kar aankh mahsus karti hai aur is tarah qaraar paa jaati hai ke mahbub ke aelaawah kisi aur ki taraf maa'ael nahi hoti
Shaayad isi monaasebat se nek aulaad ko "قُرَّةُ العَین / qurratul ain" yaani "Aankhon ki thandak" kaha jaata hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadime edaara-e-Darul Itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
8 / صفر / 1444 ھ.ق
No comments:
Comment