Kis ketaab me likha hai ke Hazrat Sakina (s.a) ki qabr zindaane shaam me hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, September 4, 2022

Kis ketaab me likha hai ke Hazrat Sakina (s.a) ki qabr zindaane shaam me hai ?

Sawaal az : mohtaram janaab Gulzar Ahmad sb


Asalam Alaikum


Sawal
Imam Hussain (a.s) ki kitni betiyan thi un ka naam kya tha
doosri baat kis kitab main likha hai ki Sakina (a.s) sham ke zindaan main madfoon hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Imaam Husain (عليه السلام) ki betiyaan ketni thin ? is ta'alluq se niche di gaei video molaaheza farmaa len


Imaam Husain (علیه السلام) ki 3 ya 4 saalah bach'chi [ Hazrat Roqaiy'yah (سلام الله علیها)] Shaam (Syria) me waaqe shahr Demashq me Yazid (لعنة الله علیه) ke daarul khelaafah (mahal) ke qarib madfun hain, zindaane shaam yahin tha, is baare me sirf chand ketaabon ke hawaalaajaat darj zail hain :


  1. Abdul Wahhaab bin Ahmad Shaafe'ei al-maaruf ba Shaaraani ne apni ketaab "Ketaabul menan" baab 10 me likha hai :

  2. Kuchh shakhsiyaat ne mujhe bataaya ke Yazid ke daarul khelaafah ke paas aek jaame masjid wa dargaah hai, ous dargaah me Saiy'yedah Roqaiy'yah Binte Husain ke saath Ahlebait ki aek jamaa'at madfun hai, ye masjid is waqt "Masjide Shajaratud dur" se mash'hur hai, ye masjid Saiy'yedah Nafisa ke baaein taraf hai aur jis jagah Saiy'yedah Roqaiy'yah madfun hain, wo ous ke daaein taraf hai. is dargaah ke darwaaze par nasb shudah pat'thar par likha hai :


    " هذَا البَيْتُ بُقْعَةٌ شُرِّفَتْ بِآلِ النّبِىّ صلى الله عليه و آله و سلم وَ بِبِنتِ الحُسَيْنِ الشَّهيد، رُقَيَّة عليهاالسلام "


    "ye ghar wo buq'ah (zamin ka wo tukda jo aur tukdon se momtaaz ho) hai jis ko Khaandaane Rasul aur Husain ki shahid beti Roqaiy'yah ne izzat bakhshi hai"


    waazeh rahe ke Shaaraani saheb ka ta'alluq sunni firqe se hai, aap ki wafaat 397 qamari me huei yaani taqriban 1046 saal qabl. Shaaraani saheb ka inteqaal Shaikh Mofid (رضوان الله تعالی علیه) se taqriban 16 saal pahle huaa hai, is liae ke Shaikh Mofid ne 413 me inteqaal farmaaya


    Lehaaza "ketaabul menan" bahot qadimi maakhaz wa masaadir me se hai, is aetebaar se ye ketaab bahot mohim hai


    Shaaraani saheb ki mazkurah baala baaton aur zindaane shaam me Hazrat Roqaiy'yah (سلام الله علیها) ke dil doz masaa'aeb, shahaadat aur qabre mobaarak ki diwaar kharaab hone, jisme athar par taaziyaanon ke taaza neshaanaat ... aur taamire qabr ka zikr Aalime aamil, Mohaddise kaamil Shaikh Mohammad Maazandaraani ne apni ketaab "Ma'aaleyus sibtain" jild 2 , safha 101 wa 102 "Majlis Raabe Ashar" me kiya hai


  3. Saiy'yed Mohsin Amin Aameli ne apni mash'huro maaruf ketaab "Aayaanush shia" jild 7, safha 34 par likha hai :

  4. Demishq ke mahallah "Amarah" me aek qabr aur mash'had (shahidon ka qabristaan) hai jo zeyaarat gaah hai, wo qabr Roqaiy'yah Binte Husain (علیهم السلام) ki taraf mansub hai. Iran ke wazire aazam Meerza Ali Asghar Khaan ne ous zeyaarat gaah ki taamir dobaarah 1323 me karaaei


    (mahallah "Amarah" Demishq ki jaame masjid se chand metre ke faasele par hai)


  5. Saiy'yed Mohammad Karaki Haa'aeri apni ketaab "Tasleyatul Mojaalis wa Zinatul Majaalis" jild 2, safha 93 wa 94 par jo likha hai ous ka mazmun kuchh is tarah hai :

  6. Shaam ke shahr Demishq me Masjide Aazam ke nazdik waaqe Banu Omaiy'yah ke ghar ki sakht wa shadid alfaaz me mazammat ki hai, misaal ke taur par likhte hain :


    But'kadah ... Mahallul Fajaratut Toghaat, Markazul fosuq, Baitun'naar, Majma-ul-fuj'jaar, Mambaoul ashraar wa Sharro min masjide Zeraar ...


    Is ke baad likha hai wahan masjid ke paas aek kharaabah hai, ous ke darwaaze par nasb shudah pat'thar par Nabi aur 12 Imaamon (علیهم السلام) ke naam kandah hain. in ke baad likha hai :


    " هذا قبر السیده ملکة بنت الحسین علیه السلام ... "


    "Ye Saiy'yedah Malikah binte Husain (علیه السلام) ki qabr hai ..."


    (Ye ketaab taqriban 955 qamari me likhi gaei hai, taqriban 488 saal qabl)


in ke aelaawah mota'addid ketaabon me shawaahid wa sobut ke saath likha hai ke Imaam Husain (عليه السلام) ki 3 ya 4 saalah bach'chi [ Hazrat Roqaiy'yah Binte Husain (عليهما السلام)] wahin madfun hain jahaan is waqt zeyaarat gaah hai


dusre ye ke mash'hur hai ke aap wahin madfun hain jahaan is waqt zeyaarat gaah hai ahle eilm waaqif hain ke shohrat huj'jat hai


Momenin se guzaarish hai ke jo log Imaam Husain (علیه السلام) ki 3 ya 4 saalah bach'chi ke mobaarak wojud aur qabr ke hawaale se shak'ko shub'hah eijaad karte hain baraa'ae mehrbaani oun se hoshiyaar rahen, is ta'alluq se shak'ko shub'hah eijaad karna Imaam Husain aur aap ki 3 ya 4 saalah bach'chi (سلام الله علیهم) par bahot bada zulm hai


" ...لَا يَزِيدُ الظَّالِمِينَ إِلَّا خَسَارًا "


"..zaalimon ko ba'juz noqsaan ke kuchh aezaafa nahi hota"


(surah isra 82)


Karbala ke raawi aur janaab-e-sakina (s.a)


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-Darul Itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


7 / صفر / 1444ھ.ق

subscribe us on youtube


Recommended


Iran | Iraq | Hindustaan me janaab Sakina ki majlis kab hoti hai ? | taarikh-e-shahaadat

No comments:

Comment

.