keya shaadi shuda aurat zena ke baad zaani se nekaah kar sakti hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, December 18, 2022

keya shaadi shuda aurat zena ke baad zaani se nekaah kar sakti hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : khaahare geraami


Assalamualaikum


Janab mene apne shauhar se talaq lene ka irada kiya hai kyun ki ham dono ke beech halaat thik nahi rehte hain aur kayi baar mujhpe hath bhi uthaya gaya hai. Janab mujhse zena bhi ho gaya hai. Talaq isliye nahi le rahi hu kyu ki zena hua hai lekin mujhpe pehle se bahot gande ilzam lagae gaye hain mere ghar waalo se bahot baar badtameezi hui hai aur talaq ka irada mene pehle hi kar liya tha.


Mera sawal ye hai ki kya ab mein apne shauhar ko talak de sakti hu ?


aur kya tauba kar ke us insan ke sath nikah kar sakti hu jiske sath zena hua ho ?


Agha sistani ki taqleed me hu
aur mera naam ya number share mat kijiyega.
Janab mein chahti hu aap iska jawab jald hi de den.


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


jahaan tak asl sawaal ka ta'alluq hai to ous ka jawaab ye hai ke aap shauhar ko talaaq nahi de sakti hain balke le sakti hain keyun ke talaaq ka haq shauhar ko hai


zaani se nekaah nahi kar sakti hain is liae ke aehteyaate waajib ke ba'motaabiq shauhar daar aurat se zena abadi wa daa'aemi hurmat ka sabab hai yaani ous (zaani) se nekaah ki hurmat hamesha (oumr bhar) ke liae hai


is mas'ale ka shar'ei hal :


is mas'ale me Aayatullah Shobairi Zanjaani ya Aayatullah Makaarim Shiraazi se roju kar sakti hain keyun ke in dono aayaate keraam ke nazdik shauhar daar aurat se zena abadi hurmat ka baa'aes nahi hai lehaaza talaaq lene aur talaaq ki eid'dat ki mud'dat guzaarne ke baad ous shakhs (zaani) ke saath nekaah kar sakti hain


Waazeh rahe ke Aayatullah Sistaani ne aehteyaate waajib kaha hai is ka matlab ye hai ke ye fatwa nahi hai. yaani is mas'ale me aap ka ye nazariya qat'ei wa yaqini nahi hai. lehaaza is mas'ale me dusre marja ki taqlid kar sakti hain


Sawaal me jin baaton ki taraf aeshaara kiya hai ous ke baare me niche di gaei video aur tahriri jawaab ki links molaaheza farma len


  1. Miya biwi me aekhtelaaf wa naachaaqi ho jaa'ae to keya karen ?


  2. Shaadi shuda aurat agar zena kare to keya nekaah baaqi rahe ga ? | zena ki mazammat | is ke baad keya karen ?

  3. biwi par ilzaam lagaane ka hukm | baap bete ke hoquq | baap apna haq ada na kare to aulaad keya karen ?

  4. Ladki ne court ke zariae talaaq le li hai lekin shauhar talaaq na de to keya hukm hai ?

  5. haamela aurat ko talaaq dena | talaaq qaabile nafrat amal


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


23 / جمادی الاول / 1444ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.