Bhaa'ei ki biwi se mohabbat ho gaei hai, keya ous se shaadi kar sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, March 15, 2023

Bhaa'ei ki biwi se mohabbat ho gaei hai, keya ous se shaadi kar sakte hain ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : beraadare mohtaram


Salam,


Janab mere ek bhai aur bhabhi ka rishta thik thak chal raha tha beech beech me unlogo me takraw hua karte the aur mere bhai aksar gaali bakte unko ya unke ghar walo ko aur bahot badtameezi karte aur kuchh baar to hath bhi uthaya jisse bhabhi apne mayke chali jaya karti thi kafi mahino ke liye fir mene bhabhi ko samjhaya ki jesa bhi hai rishta rakhiye ise talaq tak na phuchne diye kuchh mahine pehle mere bhai ne fir hath uthaya bhabhi pe to hamne bhi kaha ki jald baazi me talaq ke faisla mat liyega aese hi meri aur unki baat cheet badhti gayi fir pata nahi ham dono ko kab ek dusre se mohabbat ho gayi ab unka 3 mahine baad rishta sort hua hai wo fir apne susral gayi hai lekin wo mujhse chahti hai ki mein unse door na jau aur unke sath rahu aur kuchh saal me settle ho ke unse shaadi kar lu . wo sirf ek compromise ke chalte reh rahi hain apne susral me aur apne ek chhote bach'che ke khatir wo mujhse kehti hain tum door gaye to ham mar jayege aur ji nahi paege mujhse bolti hain ki tum jaldi se settle ho jao fir shaadi kar lege ham log aur inhe talak de dege mujhe bataiye mein is waqt kya karu kyu ki mujhe bhi unse attachment ho gaya hai aur mein ye bhi sochta hu ki wo mujhse umr me badi hain to is rishte ke liye kese sab manege.


Aapse request hai ki meri details hide kar di jaa'ae .


Regards,
... | ...@yahoo.in


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


jo aap ne likha hai ous ke motaabiq aap ne apne baare me puchha hai ke me keya karun ? bhaa'ei aur bhaabhi ke baare me nahi puchha hai ke oun ki izdewaaji zindagi mushkil me hai ous ko kaiyse khatm ya kam kiya jaa'ae?


lehaaza bhaa'ei aur bhaabhi ki mushkelaat aur raahe hal ko nazar andaaz karte huae bas aetna arz kar dun ke is hawaale se niche di gaei video molaaheza farma len


asl jawaab se pahle ye bataa dun ke qur'aan aur ahaadis me Khoda aur Maasumin (صلوات الله و سلامه عليهم) ne tamaam mardon aur auraton ko taalim di hai ke kisi ghair mahram mard aur aurat se ghair zaruri baat na karna aur zaruri baat karte waqt narm lehjah na aekhteyaar karna, keyon ke jab bhi mard, ghair mahram aurat se makhsusan aurat, ghair mahram mard se narm lehjah apnaati hai ya lachak dekhaati hai to bahot si kharaabiyaan aur fitne janam lete hain, donon depression ya izteraabi kaiyfiyat se do chaar hote hain, dunya me mokhtalif qism ki parishaaniyon me giraftaar wa mubtala rahte hain aur oukhrawi noqsaan wa azaab ka bhi baa'aes hai


islaami taalimaat aur qawaanin ki re'aayat na ho to khud ko noqsaan pahunche ga


in ka aek misdaaq aap donon hain


rewaayaat ke motaabiq jin auraton ke shauhar maujud na hon oun ke paas na jaao keyon ke shaiytaan tumhaari ragon me khun ki tarah daudta hai


Aap ke mota'alliq aap ke sawaal ka jawaab :


Sharei hukm :

aap donon ka nekaah (khaah daa'aemi ho ya waqti) karna haraam hai, shar'an jaa'aez nahi hai albatta bhaa'ei ki biwi apne shauhar se talaaq le le ya bhaa'ei ka inteqaal ho jaa'ae (khoda na kare) to bhaa'ei ki biwi se eid'dat ki mud'dat mokammal hone ke baad nekaah kar sakte hain


waazeh rahe ke aurat ke liae kisi mard ke nekaah me hote huae talaaq ya shauhar ki maut ke beghair aur eid'dat guzarne ke pahle dusre mard se nekaah karna haraam hai


Akhlaaqi aetebaar se jawaab :


akhlaaqi aetebaar se aur samaaji wa ijtemaaei mushkelaat, kharaabiyon, buraa'eiyon, fitnon, jhagdon, fasaadaat, badnaami wa ruswaaei, naakaami, judaaei, manfi nataa'aej, bhaa'ei se dushmani wa bughzo kina aur oumr ke farq waghairah par tawaj'joh markuz karte huae aap donon ka shaadi karna monaasib nahi, aiysi shaadi donon ki maslehat me nahi hai


Eishq ka aelaaj :


aap ne farmaaya ke jazbaati waabastagi ho gaei hai, is baare me niche diae ga'ae jawaab zarur molaaheza kar len


  1. Mai aek ladke se peyaar karti hun lekin wo mujhe nahi chaahta, keya karun ?

  2. keya ladki kisi ladke se shaadi ke liae doa kar sakti hai ? | mohabbat | facebook waghaiyrah ki shaadi ke noqsaanaat

  3. mere shauhar dusri ladki se raabete me hain oun ka dil jitne ke liae doa | hal ki raah keya hai ?

  4. Miya biwi me aekhtelaaf wa naachaaqi ho jaa'ae to keya karen ?


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


21 / shaabaan / 1444 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.