Shaadi shuda aurat ki dusre mard se mohabbat | is se nejaat paane ka tariqa - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, March 26, 2023

Shaadi shuda aurat ki dusre mard se mohabbat | is se nejaat paane ka tariqa

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : khaahare geraami / from ... Africa


Masla hai ke agar kisi aurat ko shauhar ki moujudgi me kisi dusre mard se mohabbat ho jaye to kya sahi hai


Plz name aur pata dono hide rakhe
Shukriya


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


Mokhtasar jawaab :


jo chiz insaan ke aekhteyaar me na ho ous ka koei hukm nahi hai agar'che ous ke mabaadi wa moqad'damaat aekhteyaari hain, agar ous ke moqad'damaat haraam hon to ous ko nahi karna chaahiae aur shauhar ke nekaah me hote huae dusre mard ke saath har tarah ka shahwaani aur jinsi ta'alluq qaa'aem karna haraam, kabira gunaah aur qabih tarin amal hai


Qadre tafsili jawaab :


jo chiz insaan ke aekhteyaar me na ho shar'an ous ka koei hukm nahi hai, mohabbat wa ishq dil ka mo'aamala hai aur baaz auqaat ye insaan ke bas se baahar ho jaata hai, qalbi mohabbat wa ishq ghair aekhteyaari hai, insaan ki taaqat se baahar hai khoda kisi ko ous ki taaqat se zeyaadah wa badh kar taklif nahi deta


lehaaza sirf mohabbat wa ishq shari'at ki ru se haraam nahi hai aur ise gunaah nahi samjha jaata, qeyaamat ke din oun chizon ke baare me puchha jaa'ae ga jo insaan ke aekhteyaar me hon, jo chiz insaan ke aekhteyaar me na ho ous ke baare me koei sawaal hi nahi
lekin mohabbat ke eibtedaaei oumur aur moqad'damaat ba alfaaz digar mohabbat ki shuru'aat aur ous ka pesh khaima aekhteyaari hai, insaan mohabbat ke moqad'damaat wa asbaab par mokhtaar hai yaani chaahe wo oun moqad'damaat ko kare ya na kare
agar ous ke moqad'damaat haraam hon masalan is baat par yaqin ho ya andesha ho ke dusre mard ya ghair mahram se baat chit karen ge, ous ke saath waqt guzaaren ge bil khosus tanhaaei me, ous se molaaqaat karen ge, aamado raft rakhen ge, ous ko tohfa den ge jo dar haqiqat rishwat hai, aur ous se mohabbat ka eizhaar karen ge ... to ous ke diwaane ho jaa'aen ge, mohabbat me giraftaar ho jaa'aen ge jis ka natija fitna, gunaah aur haraam kaam hai to ye sab moqad'damaat, haraam hain is se bachna chaahiae
aur har ous darwaaze se apne aap ko rokna chaahiae jahaan se fitne ki hawaa'aen chal sakti hain, khaas taur par agar ous se kisi chiz ke aasaar zaahir hon to ous se pahle ous chingaari ko bujhane me jaldi kare
ye sab moqad'damaat hain jo aekhteyaari hain, insaan kar sakta hai aur chhod bhi sakta hai, ye ishq wa mohabbat ka aaghaaz aur shuru'aat hain


agar aashiq wa mohib is natija par pahuncha hai ke wo apne aap par qaabu nahi rakh sakta to wahi hai jis ne khud ko is makhmase aur aag ke tanur me daala hai keyon ke mohabbat eijaad karne me aekhteyaar tha


kahte hain :


"jo aankh se dur hai wo dil se bhi dur hai"


ishq ka nazar se bahot hi mazbut rabt hai aankhon wa nazron se dur karna aap ke apne haath me hai


khulaasa'ae kalaam ye hai ke :


mohabbat aekhteyaari nahi hai lehaaza shar'an haraam nahi hai lekin is ke moqad'damaat, aekhteyaari hain agar wo haraam chiz aur kaam ki taraf le jaa'aen aur ghair shar'ei amal ke taur par zaahir hon to haraam wa gunaah hai, roze qeyaamat ous ke baare me puchha jaa'ae ga


Aaj kal baaz ladke aur ladkiyaan kahti hain :


keya mohabbat karna jurm hai ?


ye eilmi se zeyaadah filmi sawaal wa baat hai, is ka jawaab ye hai ke :


mohabbat jurm nahi hai lekin is ke moqad'damaat jurm hain, phone par ya whatsapp ya facebook ya email waghairah par ghair mahram se gap-shap aur shahwaani baaten karna jurm hai


jo mo'aamala aap ne bayaan kiya wo mahaz kisi ko pasand karne ka nahi balke pasandidgi ki bunyaad par apna aur mahbub ka ghar oujaadne aur eizdewaaji zindagi me zahr gholne ka hai
shauhar ke saath zindagi kharaab ho jaati hai aur wo eizdewaaji be'wafaaei me khatm aur kheyaanat par muntahi ho sakti hai


agar is me se kisi chiz ka baa'aes nahi banta to is kaifiyat wa haalat ko barqaraar rakhne aur lagaataar jaari rahne ke ruhaani, nafseyaati aur samaaji aetebaar se manfi aur bahot bure nataa'aej ho sakte hain masalan zehan ki ouljhan, bechaini, aasaab ka tanaao, eizdewaaji zindagi me khalal, barbaadi aur badnaami waghairah se do chaar ho skate hain


lehaaza aap ko apne shauhar se mutma'ein hona chaahiae aur oun ke baare me bahot mohtaat rahna chaahiae aur kisi dusre mard ki taraf tawajjoh nahi honi chaahiae


ishqe majaazi aur jazbaati mohabbat aek jaan lewa bimaari aur jonun hai, is ka anjaam nadaamat hai aur jismaani ta'alluqaat me adame eitminaan ka baa'aes


ishq aur jazbaati mohabbat ghair aekhteyaari aur bimaari hai lekin qaabile aelaaj hai


ishq se bachaao ka tariqa'ae kaar :


maraze ishq se bachne ke kaei aek tariqe hain oun me se aham tariqe mokhtasaran ye hain :


  1. ishq ke anjaam, noqsaanaat aur buraaeiyon par nazar wa tawajjoh karen

  2. tarke mohabbat par azme mosammam :

  3. himmat ke beghair aasaan se asaan kaam nahi hota


  4. ta'alluqaat ka khaatema:

  5. har tarah ke ta'alluqaat ko tark kar den taa'ke raabeta mumkin na ho, ous se bolna chaalna, ouse dekhna bhaalna, aana jaana yahaan tak ke maashuq ke dayaar, shahar ya dehaat ya mohalle aur raaste se duri aekhteyaar karen, ous jagah ko chhod den jahaan se maashuq ka didaar ho sakta hai
    mobile waghairah se ous ka number delete wa hazf kar den


  6. ous ki saari yaadon jaiyse tohfe tahaa'aef, taswiron aur message wa paighaamaat waghairah ko mita den aur naabud kar den

  7. shauhar ki ach'chhaaeiyon par tawajjoh den, oun ki khubi par nazar rakhen
    aur maashuq ki buraaeiyon par ghauro fikr karen is liae ke mohabbat andhaa bahra bana deti hai, maashuq ka koei aiyb nazar nahi aata hatta ous ka aiyb khubi wa ach'chhaaei nazar aati hai
    maashuq ka aiyb bhi maashuq hota hai

  8. apne aap ko mashaaghil wa kaam me masruf wa mash'ghul rakhen masalan warzish karen, ach'chhi wa mofid ketaabon ka motaala'aa karen, koei hunar aata hai jaiyse kadhaaei, bunaaei, silaaei (embroidery, weaving, sewing) waghairah to ous me mash'ghul wa sar'garm rahen, kisi waqt khaali na baithen keyon ke faarigh waqt jazbaat ko bhadkaane ki aek aham wajah hai

  9. apni mokhtasar zindagi, maut aur aakherat par tawajjoh karte huae khoda ka khauf dil me paida karen

  10. ach'chhi tarah samjhen ke dusre mard ki taraf tawajjoh aur daame giraftaari (ishq) shaitaan ke phandon aur jaal me se aek hai

  11. jo bataaya ous par amal karte huae khoda aur Ahlebaite at'haar (سلام الله وسلامه عليهم) se tawassul karen, in se madad maangen aur is mushkil se nikalne ke liae doa karen, maahe ramzaan hai, is mahine me khosusiyat ke saath doaa'aen qabul hoti hain

  12. mai apni baat hadis ke in jumlo par khatam karta hun


    "jo shakhs aashiq huaa pas paak daaman raha aur chhupaaya aur sabr kiya phir mar gaya to wo shakhs shahid hai"


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad Patna shob-e-sawaalaat Qum / Iran


3 / ramazaanul mobaarak / 1444 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.