Istehaaze waali aurat ke liae roze ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, April 29, 2023

Istehaaze waali aurat ke liae roze ka hukm

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : khaahare geraami


salaam alykum


istehaaza jo bhi tha ous ke wazaa'aef ko anjaam diye, roze rakhe, namaaz padhi, kisi ne kaha istehaaza ki haalat me jo roze rakhe hain maahe ramzan ke baad ous ki qaza aap ko bharni pade gi, keya ye sahi hai ?


taqlid sistaani sahab


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


istehaazah ke khun ka hukm maahwaari (haiz) aur nefaas ke khun ka nahi hai


lehaaza jis aurat ko istehaazah ka khun, chaahe qalilah (kam wa thoda) ya motawas'setah (darmeyaani wa ausat darje ka) ya kasirah (zeyaadah wa kasir) aa raha ho to oun dinon me maahe ramzaan ke roze rakhna waajib hai aur roza sahih hai, baatil nahi hai keyon ke roze ki dorustagi wa sehat ke ta'alluq se mustahaazah ka hukm paak aurat waala hai lehaaza zaruri wa laazim nahi hai ke mustahaazah aurat ke wazaa'aef wa ahkaam par amal kare
yaani jis tarah namaaz padhne ke liae, namaaz ke waqt mas'ale ke motaabiq ghusl waghairah karna zaruri hai ous tarah roza rakhne ke liae ghusl waghairah karna zaruri nahi hai, sehate roza ghusl par mauquf nahi hai lehaaza maamul ke motaabiq rakhe


jo aupar bayaan kiya gaya hai ous ke peshe nazar maahe ramzaan ke baad qaza roza rakhna zaruri nahi hai


istehaazah ki haalat me maahe ramzaan ke rozon ki tarah qaza aur dusre waajib wa mustahab roze bhi rakh sakti hain


Note :


waazeh rahe ke baaz maraaje keraam ke nazdik roza sahih hone ke liae istehaazah waali aurat ko chaahiae ke mustahaazah aurat ke wazaa'aef wa ahkaam par amal kare


jinhon ne aap se kaha hai ke maahe ramzaan ke baad qaza roza rakhna zaruri hai oun se kahen ke niche di gaei surkhi (headline) par click kar ke jawaab ko zarur molaaheza kar len



والسلام

syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


8 / shaw'waal / 1444 H.Q

roze inhedaame jan'natul baqi

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.