Sunni ladki se nekaah ka hukm | shaadi ke liae doa aur wazifa - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, April 5, 2023

Sunni ladki se nekaah ka hukm | shaadi ke liae doa aur wazifa

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtarama janaab Zahra Sb (Lucknow)


Kya sunni ladki apni pasand se kisi shia ladke se shadi kar sakti hai jabki ladki bhi puri trah se shia ban chuki ho bas birth sunni family me hui ho ladki ki agar ho sakti hai to koi esi dua ya koi wazifa btaen jisse dono taraf ki family hasi khushi rishte ke liye razi ho jaye ... aur ladki ka intention shia ladke se shadi karne ka khas tor pe yahi hai ki use wo mahol mile aur ladke se mohabbat bhi hai isi niyat se


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


shia ladke ka sunni ladki se shaadi karna mandarja zail 2 sharton ke saath dorust hai, shar'an koei haraj nahi hai


  1. ladki naasebi na ho keyon ke naasebi daa'aera'ae islaam se khaarij aur najis hain lehaaza naasebi ke saath musalmaan ka nekaah jaa'aez nahi hai aur nekaah sere se munaqid hi nahi hoga

  2. ladki ke oun aamaal aur aqaa'aed ko na apnaa'ae jo shia aamaal aur aqaa'aed ke mosal'lamaat ke khelaaf hon neez aulaad ka aqidah kharaab hone ka andesha na ho

  3. beshak maa ka maqaam bahot hi baland wa baala hai lekin tarbiyate aulaad me maa ka kirdaar aek aham mas'ala hai
    maa ki god aulaad ki pahli dars'gaah hai


Shaadi ke liae doa aur wazifa :


  1. jab bhi ous ladki ya ladke ka saamna ho ya kheyaal dil me aa'ae to ye zikr padhen :

  2. " اَسئَلُ اللهَ مِن فَضلِه "


    "As'alullaah min fazleh"


    "main Allaah se ous ka fazl maangta hun"


    neez is zikr ko kasrat se padhte rahen


  3. surah hashr ki telaawat 40 raaten kar ke (chilla mokammal kar ke) doa maangen
    waazeh rahe ke surah hashr ke aakhir ki 4 aayaton me isme aazam hai

  4. shabe jum'ah 4 rak'at namaaz (namaaze subh ki tarah 2 rak'at 2 rak'at kar ke) padhen, har rak'at me surah hamd ke baad surah hashr padhen
    namaaz mokammal kar ke doa maangen

  5. shaadi aur dusri haajaat aur mazid doa aur wazifa ke liae niche recommend kiae ga'ae jawaab ko molaaheza farma len


  1. shaadi me rokaawaten | jis ka koei rishta na aataa ho to wo keya kare ?

  2. kaaro-baar me kaamyaabi | naa kaami | rizq me barkat | tangi ke asbaab | mushkelaat se nikalne | haajat ki namaaz | doa | azkaar

Note :


Naasebi ous shakhs ko kaha jaata hai jo Ahlebaite Rasul aur aap ki aal (عليهم السلام) se dush'mani rakhta ho ya oun ki tauhin karta ho ya oun ko bura kahta ho, isi wajah se shia sunniyon ki aksariyat ko naasebi nahi maante keyon ke wo Ahlebait aur Aale Nabi (صلوات الله و سلامه عليهم) se mohabbat karte hain


shaadi ke baare me sawaalo jawaab aur mofid maalumaat haasil karne ke liae "Menu" me "shaadi" ka shoba dekh len



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shob-e-sawaalaat Qum / iran


14 / ramzaanul mobaarak / 1444 H.Q

shabe welaadat baa sa'aadat karime Ahlebait Hazrat Imaam Hasan Mujtaba (صلوات الله و سلامه عليهم)

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.