Naafela'ae subh ka waqt | namaaz-e-shab aur subh ka waqte fazilat - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, August 13, 2023

Naafela'ae subh ka waqt | namaaz-e-shab aur subh ka waqte fazilat

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : Mohtaram Janaab Sadiq Raushan Ali Sb, (Central Africa)


Nafelah subh ka kaun sa behtar waqt hai


Taqleed : Aayatullah Sistani sb


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


koei shakhs namaaze shab padhe ya na padhe dono surat me namaaze shab ka waqt daakhil hone ke baad namaaze shab padhne me jetna waqt lagta hai outna waqt guzarte hi namaaze subh ke naafele ka waqt shuru hota hai


waazeh rahe ke Aayatullah Sistaani qaa'ael hain ke hatta ekhteyaar ki surat me (yaani koei majburi na ho tab bhi) namaaze shab ka waqt aw'wale shab (eibtedaa'ae shab) se shuru hota hai


iska matlab ye huaa ke namaaze maghrib ke baad jetna waqt namaaze shab padhne me lagta hai masalan 10 ya 15 minutes lagta hai to 10 ya 15 minutes ke baad bela faasela namaaze subh ka naafela padh sakte hain


aur jahaan tak mumkin ho sake isko namaaze subh se pahle padh le. iska waqt rahta hai


lekin agar koei shakhs subh ke naafele me eitni taakhir kare ke namaaze subh ki fazilat ka waqt tang ho jaa'ae to behtar hai ke ous waqt pahle namaaze subh padhe


Note :


  1. subh ke naafele ka behtar waqt, azaane subh hone ke qarib hai

  2. namaaze subh ka waqte fazilat :

  3. eibtedaa'ae fajr (azaane subh) se subh ki safedi wa roshni nomudaar hone tak hai yaani suraj nikalne se pahle ki safedi tak


    Baaz mohaq'qeqin ke baqaul :


    Subh ki namaaz ka waqte fazilat subh ki azaan se le kar subh ki azaan ke baad taqriban 21 minutes tak rahta hai


Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله


  1. baith kar | chalti sawaariyon par mustahabbi namaaz padhne ke masaa'ael

  2. Shia | sunni olama ke nazdik kin auqaat me namaaz padhna makruh | mamnu hai ?

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad /Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


25 / moharram / 1445 H.Q

Roze shahaadat Imaam Sajjaad (علیه السلام)

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.