Shia Palestiniyon aur mazlumon ki hemaayat keyon karte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, October 23, 2023

Shia Palestiniyon aur mazlumon ki hemaayat keyon karte hain ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


بسم الله الرحمن ارحیم
یا صاحب الزمان ادرکنا


Shia, Palestiniyon aur mazlumon ki hemaayat keyon karte hain ?


Is hawaale se chand nukton ki wazaahat zaruri samajhta hun lekin ba'taure tamhid ye arz kar dun ke palestiniyon ke khelaaf mokhtalif tariqon se ghalat aur kaale propagande kiae jaate hain aur jab bhi moqaawemat pasand tanzimen Israel jaiyse khun'khaar, wahshi aur manhus dushman ko munh tod jawaab deti hain to propagande ka aek laa'motanaahi sislila shuru ho jaata hai jo khatm hone ka naam hi nahi leta


Dushman propagande ko hathiyaar ke taur par istemaal karta hai aur internet makhsusan social media ko is kaam ke liae sab se zeyaadah istemaal kiya jaata hai, is liae ke social media istemaal karne waalon ki aksariyat aql istemaal nahi karti, yaa saadah lauh hai yaa tahqiq nahi karti ...


Aek saaheb ke ba'qaul : Afwaah ko dushman gadhta hai, ahmaq phailaata hai, bewaquf ouse sach samajhta hai, naadaan aur kam aql ous par data rahta hai. lehaaza aiyse logon se hoshiyaar rahen


Palestini mozaahamati wa moqaawamati tahrikon ko Israel jaiyse dushman ke khelaaf taqriban 13 din pahle haiyraan'kun kaamyaabi mili to oun ko dahshat'gard ... qaraar dene ke liae apni puri taaqat laga rahe hain


Hindustan jaiyse bade jamhuri aur inqelaabi mulk me bhi maujudah jang ke mota'alliq media ki reporting aur baaz hukkaam ka rawaiy'yah sharm'naak hai


Maghrebi media ki koshish hai ke mazlum palestiniyon ko zaalim, aur israeliyon ko mazlum ke taur par pesh kiya jaa'ae


Maghrebi insaani hoquq ke nezaam me zaalim aur mazlum, qaatil aur maqtul ki jagah badalna aek maamul ki baat hai aur oun ki tabi'at ka hissa hai keyon ke wo apne mafaadaat aur haalaat ki bunyaad par faiysla karte hain


Hamesha ki tarah ye bhi kah rahe hain ke palestini aur ahle gaza naasebi [dushmane Ahlebaite Rasule Khoda (صلوات الله و سلامه علیهم)] aur shia hain
Shion se kahte hain wo naasebi hain aur palestini, shion ko najis samajhte hain is wajah se aelaaj ke liae shion ke khoon ka atiyah qabul nahi karte aur sunnion se baraabar kahte hain ke wo shia hain
Ye baaten jaali, ghalat, fitna aur ishte'aal angez hain. shia aur sunni ke darmeyaan tafreqa daalne ki koshish kar rahe hain taa ke palestini mozaahamati wa moqaawamati tanzimen ladte ladte tanha rah jaa'aen


Palestiniyon ko naasebi samajh kar shia oun ki madad na karen keyon ke shion ke nazdik naasebi, kuffaaro mushrekin se bhi zeyaadah bad'tar hain aur oun ko shia samajh kar sunni oun ki hemaayat na karen


Mujhe yaqin hai ke agar ahliyaane gaza naasebi hote to israeli wahshiyaana tariqe se oun ki nasl'kushi na karte, is liae ke naasebi aur israeli aek hi hain


Waazeh rahe ke aksar palestini sunni hain lekin naasebi nahi hain, wahaan aksariyat shaafe'ei mazhab ki hai


Momenin ko maalum hai ke sunniyon ke 4 imaamon (Abu Hanifa, Maalik, Ahmad Bin Hanbal aur Shaafe'ei) men se Shaafe'ei mohabbate Ahlebaite Rasul (علیهم السلام) ke peshe nazar shion se zeyaadah qarib hain


Ahlebaite Rasule Khoda (صلوات الله علیهم) ki madh me Shaafe'ei saaheb ne aiyse ash'aar kahen hain jin ka jawaab nahi. oun me se ye sher momenin ne suna hoga :


إن کانَ رَفضاً حُبُّ آلِ مُحمَّدٍ
فَلیَشهَدِ الثَّقَلانِ أنّی رَافضِی


"Agar Aale Mohammad se mohabbat raafezi (shia) hone ka baa'aes hai to (kis baat ka khauf) tamaam jinno eins gawaah rahna bela shub'ha mai raafezi hun"


(Diwaane imaam Shaafe'ei - page 81 - qaafeyah zaad)


Palestine aur Gaza me baaz masjidon ke naam Ahlebaite Rasule Khoda (صلوات الله و سلامه علیهم) ke naam par hain aur baaz Imaam Husain (علیهم السلام) ki azaadaari bhi karte hain


Arz kiya Palestine aur Gaza me aksariyat sunni mazhab ki hai, ba'zaahir shia aate (flour) me namak ke baraabar hain


Is tamhid ke baad bata dun ke bahot si wojuhaat aur dalaa'ael ki bena par shia, palestiniyon aur mazlumon ki hemaayat karte hain jin me se baaz aekhtesaar ke saath darj zail hain :


  1. Mazlum ki hemaayat aek aqli aur fitri chiz hai

  2. Defaa'ae mazlum fitrat ki aawaaz hai, aqle salim is ki taa'eid karti hai, jo log mazlum ki hemaayat nahi karte oun ki fitrat aur aql par zang lag gaya hai, nafrat ka ya ta'assub ka ya hemaaqat ka ya jehaalat ka, ya murda zamiri wa murda dili ka ya be'hayaa'ei ka ya haiwaaniyat wa darindagi ka ya dasne ka


    Hindustani awaam ki muslim aur ghair muslim aksariyat palestiniyon ke saath hai keyon ke wo ach'chhi fitrat waale hain


  3. Hamaari insaani zimme'daari

  4. Hamaari inferaadi, eijtemaa'ei, mo'aasharati aur akhlaaqi zimme'daari hai ke mazlum ki hemaayat karen, jo mazlum ki hemaayat nahi karte wo kuchh bhi hon, insaan nahi


    Insaanon jaiysi shaklo surat hai lekin oun ka qalb pat'thar aur darinda sefat haiwaan ka hai, ye log be'shak jaanwaron se bad'tar hain


    Zulm karna, zulm sahna aur hone dena dar asl zulm hai
    Zaalim ke khelaaf sina separ na hon to zaalim ke hausle baland hote hain


  5. Islaam ki taalimaat

    1. Qur'aan :

    2. Surah Anfaal Aayat 72 me hai :


      " ... Agar wo deen ke mo'aamale me tum se madad chaahen to tumhe oun ki madad karni laazim hai ... "


      Palestini mozaahamati tanzimen, islaamo muslemin aur insaaniyat ke bahot bade dushman Israel ki naabudi aur qibla'ae awwal, Quds ki aazaadi ke liae jang kar rahe hain lehaaza ham par waajib hai ke oun ki hemaayat aur madad karen


    3. Ahaadees :

    4. Imaam Saadiq se rewaayat hai ke Rasule Khoda (سلام الله علیهم) ne farmaaya :


      "مَنْ أَصْبَحَ لاَ يَهْتَمُّ بِأُمُورِ اَلْمُسْلِمِينَ فَلَيْسَ مِنْهُمْ وَ مَنْ سَمِعَ رَجُلاً يُنَادِي يَا لَلْمُسْلِمِينَ فَلَمْ يُجِبْهُ فَلَيْسَ بِمُسْلِمٍ"


      "Jo shakhs is haal me subh kare ke wo musalmaanon ke masaa'ael wa mo'aamalaat par fikr mand na ho to wo musalmaanon me se nahi hai aur jis ne kisi mazlum shakhs ki aawaaz suni ke wo faryaad kar raha hai "Ay Musalmaano" lekin ous ki madad na kare to wo musalmaan nahi hai"


      (mir'aatul oqul fi sharhe akhbaarir rasul - jild 9 - page 3 - taalif Allaamah Majlesi)


      Is rewaayat me ye chiz bhi qaabile tawajjoh hai ke is me " رجلا / rajolan" (Mard - shakhs) ka zikr hai na "مسلما / musleman" (Musalmaan) ka


      "Rajolan / رجلا" Ke lafz me omumiyat hai lehaaza is ka maani ye hoga ke jo shakhs bhi (muslim ya ghair muslim, shia yaa sunni) pukaare "Ay Musalmaano" lekin koei musalmaan ous mazlum ki madad na kare to wo musalmaan nahi hai


      Ibne Muljam (لعنة الله علیه) ki zarbat lagne ke baad Amirul Momenin Ali ne Imaam Hasan wa Husain (علیهم السلام) ko wasiyat farmaa'ei :


      كُونا لِظّالِمِ خَصْماً وَ لِلْمَظْلُومِ عَوْناً


      Tum dono hamesha zaalim ke dushman aur mazlum ke madad'gaar raho


      (Nahjul Balaagha - khutbah 47)


      Is rewaayat me bhi musalmaanon ka koei zikr nahi, is liae mazlum ka defa har musalmaan ka farz hai, chaahe mazlum ghair muslim yaa ghair shia hi keyon na ho


      Palestini aur Gaza ke baashinde sunni hain lekin hamaare deeni bhaaei aur mazlum hain, sab ko madad ke liae pukaar rahe hain is liae shia oun ki madad ke liae oun ki pukaar ka jawaab dete hain


    5. Imaan waalon ke sab se bade dushman ka moqabala

    6. Surah Baqarah Aayat 82 me hai :


      "لَتَجِدَنَّ أَشَدَّ النَّاسِ عَدَاوَةً لِلَّذِينَ آمَنُوا الْيَهُودَ وَالَّذِينَ أَشْرَكُوا..."


      "Yaqinan aap eimaan waalon ka sab se zeyaadah dushman yahudiyon aur mushrikon ko paa'aen ge"


      Yahudi sirf momenin aur musalmaanon ke dushman nahi balke insaaniyat ke bhi bad'tarin dushman hain


      Is ki chand misaalen molaaheza farmaa'aen :


      1. Apne aelaawah sab ko 2 paao'n (taangon) kaa jaanwar samajhte hain

      2. Jis tarah machhli ka pet chaak karte hain ous ki tarah insaanon ka pet chaak kar sakte hain

      3. Israel ke qaumi taraana me dahshat gardi, khoon bahaane aur logon ke qalb me khanjar utaarne ... ki targhib dilaaei gaei hai

      4. Ketne afsos ki baat hai neki aur ach'chhi baaton ki targhib dilaa'ei jaati hai lekin Israel ke qaumi taraane me dahshat gardi ki targhib dilaaei gaei hai


        Isi liae baaz sunni olama ne bhi kaha hai ke Israel ka qaumi taraana padhna haraam hai


        Is ke baa'wojud baaz muslim hukkaam, Israel ka qaumi taraana sar jhuka kar padhte aur sunte hain aur ous ke aehteraam me khade hote hain
        be'sharmi aur gholaami ki had ho gaei


      5. "Fesah" yahudi mazhab ki nehaayat moqaddas eid hai (is ko "Pesah" aur Pesakh" bhi kaha jaata hai) is eid ke dauraan bach'che ko qatl kar ke ous ke khoon me aata gundh kar roti bana kar khaate hain

      6. Bach'che ka khatna karne ke baad bela faaselah ous ka khoon haakhaam (yahudiyon ke pesh'waa'on ka laqab) chuste hain

      7. Number 4 aur 5 ke baare me, mai ne kahin padha tha, waqt nahi mil saka ke dekhta, ye sahih hai yaa ghalat. Aap khud is ki tahqiq kar len


      8. Israeli khufya agency mossad ki jaasus auraten jaasusi ke liae tawaa'aef ke taur par kaam karti hain
        Is qabih fel ki aejaazat haakhaam ne di hai
        Kaei muslim hukkaam bhi jaasus auraton ka shekaar huae hain

      Palestini aiyse khun'khaar, dahshat gard aur be'haya dushman ka moqaabala kar rahe hain lehaaza oun ki hemaayat karna zaruri hai


      Aek baat ki wazaahat kar dun ke bahot saare yahudi aur yahudi raahib palestiniyon ke haami hain aur sahyuni hokumat ke mokhaalif, oun ka kahna hai ke israeli hokumat naa'jaa'aez hai aur oun ke mazhab ke naam par zulm kar rahi hai. Israel ka yahudiyat se koei ta'alluq nahi


      Hatta America me ahliyaane gaza ki hemaayat me white house ke saamne mozaahera kar rahe hain


      Yahudiyon me intehaa'ei parde daar auraten aur ladkiyaan hain, parda yahudiyon ki shari'at me bhi hai, oun ke aek firqe se ta'alluq rakhne waali khawaatin aetna parda karti hain ke waiysa parda muslim auraten bhi nahi kartin, ham aiyse yahudiyon se nafrat nahi karte hain aur naa oun ke dushman hain, ham sahyuni hokumat ka khaatema chaahte hain


  6. Rasule Khoda aur aap ke Ahlebait (علیهم السلام) ki sirat

  7. Mazlumon ki hemaayat karna, zaalim ke aage khade hona Rasule geraami aur aap ke Ahlebait (سلام الله علیهم) ki laa'zawaal sirat hai


    yahan Nabi (صلی الله علیه و آله) ka aek aham waaqe'ah "mo'aahada'ae hilful fozul" ka zikr monaasib hai


    Sirat negaaron ke motaabiq daure jaaheliyat me mazlumon ki hemaayat wa nusrat aur oun ka haq lene ke ounwaan se aek ittehaad forum (form) bana to Rasule geraami (صلی الله علیه و آله) ne ous ittehaad me shomuliyat aekhteyaar ki aur "mo'aahada'ae hilful fozul" ki taa'eid bhi ki


    Ay kaash tamaam musalmaan bhi "mo'aahada'ae hilful fozul" par amal karte aur palestiniyon ki hemaayat wa nusrat aur oun ka haq lene ke liae aek ittehaad forum banaate


    Mai musalmaanon alal'khosus muslim hukkaam se puchhta hun keya mazlumon ki hemaayat wa nusrat me sunnat wa sirate nabawi (صلی الله علیه و آله) oun ki zindagi ka hissa nahi ?


    Aap ne suna hoga ke Hazrat Ali (علیه السلام) ke daure khelaafat me Mo'aawiyah ka wahshi lashkar aek sarhad se dar'andaazi karne ke baad be'qosur aam shahriyon ka qatl karne laga aur qatlo ghaarat gari wa bad'amni phailaane ki aek aur ghenaaoni saazish ki


    Musalmaan aurat aur yahudi ya eisaaei aurat [jo Imaam Ali (علیه السلام) ki islaami hokumat ki amaan me rahti thi] ke ghar me ghuse aur oun ke jism se zabardasti paazib (payal), dast'band (motiyon aur jawaaheraat ka lach'chha jo auraten aur ladkiyaan kalaaei par baandh'ti hain), gardan band (gale ke aek zewar ka naam) aur goshwaare chhin liae ... apne defaa ke liae girya'o zaari, faryaad aur eiltemaas ke aelaawah oun ke paas koei dusra raasta nahi tha


    Jab Imaame insaaniyat aur bashariyat Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ko ye khabar mili to aap ka radde amal is tarah tha :


    "is sadmaati aur talkh haadese ke baad aah aur ta'assuf ki shiddat wa hiddat se agar koei musalmaan mar jaa'ae to wo musalmaan aiysi maut ka mustahaq hai balke mere nazdik is ka sazaawaar hai"


    Mere khayaal me 2 baaton par khosusi tawajjoh dene ki zarurat hai :


    Aek ye ke muslim aur ghair muslim auraten zulmo setam aur zeyaad'ti ka shekaar huein to Hazrat Ali (علیه السلام) ne dono ka zikr aek saath kiya hai aap ke nazdik muslim hoquq aur ghair muslim ke hoquq me koei farq nahi


    Ye hai insaani hoquq, dunya Imaam Ali (علیه السلام) se sikhe


    Dusri baat ye ke aam taur par ye samjha aur padha jaata hai ke Hazrat Ali (علیه السلام) ne apni sakht naaraazgi ka izhaar dono auraton ke saath zaalemaana bar'taao ki wajah se kiya


    Lekin asl me baat ye hai ke Mo'aawiyah ka lashkar ous shahr me ghusa, kisi ne mozaahamat na ki, qatlo ghaarat gari ki kisi ne mozaahamat na ki, logon ke gharon me ghus kar chaadar aur chaar'diwaari ko paamaal kiya, wahshiyaana tariqe se bach'chon aur auraton par hamla kiya, khawaatin ke zewaraat lute, madad ke liae pukaarti rahin lekin kisi ne bhi oun ki madad na ki aur jab wo lut maar kar ke feraar huae to oun me se koei bhi maara nahi gaya, oun ke khoon ka aek qatrah bhi na baha hatta kisi ke jism par halki si kharaash bhi nahi thi


    Ous shahr me maujud logon aur moqaabala karne waalon ko chaahiae tha ke sarhad aur gharon me daakhil hone se pahle hi Shaami lashkar ko rokte, jab daakhil ho ga'ae to Mo'aawiyah ke sepaahiyon ka moqaabala kar ke gharon, shahriyon aur naamus ko bachaate taa ke khoon kharaaba na hota aur talkh waaqe'ah wa haadesa runoma na hota


    Imaam Ali (علیه السلام) ne apni sakht naaraazgi ka izhaar is bena par kiya aur farmaaya :


    Is talkh haadese ke baad ta'assuf se agar koei musalmaan mar jaa'ae to wo musalmaan aiysi maut ka mustahaq hai ...


    (Tafsil ke liae Nahjul Balaagha khutba number 27 padh len)


    Rasule Khoda aur aap ke Ahlebait (علیهم السلام) ki sirat aur rawish tamaam insaanon ke liae aek behtarin namuna hai aur qaabile taqlid misaal hai


    Is liae shia tamaam mazlumon alal khosus palestiniyon ki hemaayat karte hain


    Palestiniyon ke saath keya huaa ? taqriban 75 saal pahle sahyuniyon wa israeliyon ne oun ki sar'zamin Palestine par qabza kiya aur puri dunya se shiddat pasand yahudiyon ko laa kar yahan basaaya gaya aur israeli reyaasat ka manhus aur naa'jaa'aez wojud qaa'aem huaa
    Ousi waqt se oun ke zulm, darindagi aur saf'faakiyat ka silsila jaari hai


    Aek taraf palestiniyon ko zulmo barbariyat, qatlo ghaarat gari aur tashad'dud wa qaido band ka saamna hai. israeli jail me auraten aur maasum bach'che bhi musalsal jabro istibdaad ka shekaar hain oun ko zabardasti barahna kiya jaata hai to dusri taraf oun ki sarzamin par ghairon aur wahshiyon ko basa kar musallah kiya jaa raha hai, fauj aur musallah geroh mil kar palestiniyon ko qatl karte hain aur nasl'kushi ke darpe hain


    Gaza ki maujudah surate haal puri dunya ki nazron ke saamne hai, wahaan ke naa'gufta beh haalaat par qalam uthaate hi haath kaanpte hain, "Almaamadaani" haspataal (hospital) par Israel ke be'rahmaana hamle me nauzaad, maasum bach'chon, auraton, budhon samet taqriban aek hazaar (1000) jaan'bahaq ho ga'ae, zakhmiyon ke jismon ke aazaa oud ga'ae, jism buri tarah jhulas ga'ae, har taraf phul se bach'chon ki laashen bikhri thin, haspataal me til rakhne ki jagah na thi, maa se maasum bach'chon ke bichhadne aur aaho boka ka manzar main jab bhi yaad karta hun to shiddate gham se mera kaleja phatne lagta hai


    Zulm ki had ye hai ke Israel ne khoraak, paani, dawaa'on, bijli aur aendhan waghairah ki faraahami band kar di hai


    Maghrebi aur shaitaani mamaalik Israel ka saath de rahe hain, khatar'naak aslaha bhi faraaham kar rahe hain, palestiniyon par bambaari ke liae aslahe aur jangi saazo saamaan se bhara taiy'yaara Israel pahunch raha hai


    Dusri taraf aek-do mulkon ke aelaawah America ke paaltu kut'te yaani tamaam muslim huk'kaam bhi Israel ka saath de rahe hain, wo jahaaz bhar bhar ke Israel ko zaruri ashyaa bhi bhej rahe hain
    is mo'aamele me bhi America se apni wafaaadaari ka bharpur sobut diya


    Hairat hai musalmaanon ka khalifa ban'ne ka khaab dekhne waala Turkey ka khaa'aen haakim bhi har tarah se Israel ka saath de raha hai


    Ittelaa'aat hain ke jahaaz ke zari'ae hatta sabziyaan bhi Israel bhej raha hai, oun ke paas khaane ko sabzi ... nahi


    Digar muslim mamaalik sirf mazammati bayaan tak mahdud hain


    Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ke khutba No 27 ka zikr oupar huaa
    Ous me aiyse hi logon ke baare me aap ne farmaaya :


    "يَا أَشْبَاهَ الرِّجَالِ وَ لَا رِجَال"


    "Ay mardon ki tarah mard ke mard nahi ho (yaani mard nazar aate ho lekin haqiqat me naa'mard ho)"


    Aiyse muslim hukmraan aur oun ki murdah wa buzdil fauj par Khoda ki laanat ho


    Zulm ke khelaaf mozaahamat insaan hi nahi har jaan'daar ki fitrat wa tabi'at me hai, kamzor aur chhote jaanwar bhi apna aur apne aelaaqon ka defa mokhaalifon se karte hain


    Ay kaash muslim hukkaam aur oun ki be'ghairat afwaaj aur kath'mulla kam az kam ghair jaanib'daar rahte yaani na Israel ke saath hote aur na mozaahamati tahrikon ke haami, lekin yahaan par mo'aamala is ke bar'aks hai, jab Israel ke wojud ka beda gharq hone lagta hai to ye ous ke liae nejaat ki kashti ban jaate hain


    Mazlumon ke dil se aah nikalti hai "hukmoraanon khoda tumhaara bhi beda gharq kare" Insha'allah oun ki aah lage gi


    Malhuze khaatir rahe ke mozaahamati wa moqaawamati tahriken hokumat nahi hain balke tanzimen hain aur aek-do ke aelaawah oun ka koei haami nahi hai, har taraf se mohaasara bhi hai


    Is ke baa'wojud Israel ko lohe ke chane chabwa diae, Gaza ke be defa maasum bach'chon, auraton aur aspataal par wahshiyaana hamla, oun ke khoon se holi khelna taaqat aur kaamyaabi nahi hai balke ye buzdili, paagal pan aur aek jangi jurm hai


    Insha'allah "Tufaane Aqsa operation" Tufaane Nuh ki tarah Israel ko baha le jaa'ae ga


    Husaini na America se darte hain aur na hi Israel se, is liae ke Husainiyon ke nazdik America dinosaur ki tarah hai. dinosaur azimul jussa aur dew haikal jaanwar hai lekin ous ka maghz chhota hota hai
    Aur israeli chita ki khaal me hai lekin oun ka qalb chuhe ka hai


    Jab Husaini maiydaan me aate hain to chuhon ka dil rakhne waalon ke paas bilon me ghusne ke sewa koei chaara nahi hota


Kholaasa'ae kalaam :


Hamaari fitri wa aqli, insaani wa akhlaaqi aur islaami zimme'daari hai ke daame, derame, qadame, qalame, sokhane har tarah se mazlumon khosusan palestiniyon ki madad wa hemaayat karen


Zulm ke khelaaf aawaaz uthaana aur mazlum ki hemaayat shia mazhab ke o'sul wa zawaabit aur eimteyaaz me se hai


Ye samajh kar ke Iraq, Syria, Yemen, Bahrain, Saudi, Afghanistan aur Pakistan waghairah me shion ka qatle aam huaa aur ho raha hai lekin kisi ne oun ki madad nahi ki, oun ki hemaayat me mozaahara nahi kiya gaya lehaaza palestini sunni bhaa'eiyon ki ham bhi hemaayat na karen ye shia mazhab ke o'sul se pichhe hatna huaa


Shion ke khelaaf fatwa factory kahan hain ? Ahle Gaza to sunni hain, Israel ke khelaaf jehaad ka fatwa keyon nahi dete ?


Yaad rakho dunya me chaal baaziyaan kar ke bach sakte ho lekin khoda ki adaalat se kaiyse bachoge


Alla humma ajjil le waliyekal faraj


Mofid maalumaat ke liae niche di gaei headline par click karen


  1. Vatican church ke pope ke naam khula khat

  2. Keya masjide aqsa aasmaan par hai ? | Aqsa ke maani | mokhaalefine shia ke propaganda se hoshiyaar

  3. Masjide Aqsa ki mokhtasar taarikh wa ta'aaruf


Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat


5 / rabi'ous saani / 1445 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen