اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : +91936884...
Slamun alaikum Qibla,
Mere kuch sawaal hain jinka aapse jawab chahiye...!
- Kya Hadeese kisa khule aasman me padh sakte hain ?
- Namaz-e-shab padhne ka sahi waqt kab se kab tak hota hai ?
- Kya ziyarat-e-ashoora ghar me Musalle par baith kar padh sakte hain ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
- Ji haan, padh sakte hain
- is ka jawaab padhne ke liae site ke menu me jaa kar "namaaze shab" ka shoba molaaheza farmaa len
- is ke liae niche di gaei headline par click kar ke jawaab molaaheza farmaa len
waazeh ho ke mujhe koei aiysi rewaayat nahi mili, jis me khule aasmaan tale ya zere chaadar hadeese kesa padhne ka tazkerah hai ya zere aasmaan padhne ki momaana'at hai
dusri baat ye hai ke hadeese kesa padhne ke mota'alliq Maasumeen (عليهم السلام) se manqul ahaadees me kisi khaas sharaa'aet aur aadaab ka tazkerah nahi hai
lekin behtar hai ke hadeese kesa padhte waqt doa waghairah padhne ke omumi aadaab aur sharaa'aet ki re'aayat ki jaa'ae masalan baa wozu, qibla ru ho kar aur khoshu wa khozu waghairah ke saath padhna
is ki re'aayat me mazeed ajro sawaab aur aek alag hi taaseer hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
9 / jomaadiyul awwal / 1445 H.Q
No comments:
Comment