اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : ...
SA kisi pesh namaz ki Kirat Sahi na ho to uske Pichhe namaz sahi hogi maherbani kar ke Sistani Sahab ke office se Puchh kar Jawab dene ki maherbani Kare
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمة الله و بركاته
Mokhtasar jawaab :
sahih nahi hogi
Qadre tafsili jawaab :
yahaan 3 baaton ki wazaahat zaruri hai :
- pahli baat ye hai ke jamaa'at ke sahih hone me imaame jamaa'at ki adaalat par yaqin ya itminaan aur qaraa'at ki sehat wa dorustagi mohim wa zaruri hai
- qaraa'at sahih ho yaani alfaaz ki adaa'aegi sahih tariqe se kare, arabi zabaan ke saare qawaa'aed (jaiyse tajweed aur lahan waghairah) ke motaabiq padhna waajib wa zaruri nahi hai balke zaruri wa laazim ye hai ke alfaaz ko sirf sahih padhe
- aadil wo shaks hai jo oun kaamon ko bajaa laa'ae jo ous par waajib hain aur jo kaam ous par haraam hain ous se baaz rahe
niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai insha'allah
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
11/ jomaadiyul awwal / 1445 H.Q
No comments:
Comment