Waalid bete ke ghar me qasr namaaz padhe ya puri ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, November 15, 2023

Waalid bete ke ghar me qasr namaaz padhe ya puri ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram janaab Shaadaab Sb / Lucknow


Salamun Alaikum
Allah kare aap aur aap ki family khairyat se rahe. Ameen


Shamshad Bhai, ham Lucknow se Delhi bete se milne jaate hai to kasar namaz padhte hain,
Lekin ab hamare bete ne Delhi me apna flat (makan) kharid liya hai, to ab ham Delhi me kasar namaz padhe ya poori


(Shadab)
Allah hafiz


Jawaab :


باسمه تعالی
یاصاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته

Shukriya

Sawaal ke peshe nazar Delhi me aap ki mustaqil qeyaam aur rehaa'eish ki niyat nahi lehaaza Delhi aap ke liae watan ke hukm me nahi


Agar aap ka aeraadah wahaan 10 din se kam qeyaam ka ho to qasr padhen


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


29 / Rabi'ous saani / 1445 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen