Islaami saal ka aaghaaz maahe ramazaan se hota hai moharram se nahi - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, March 17, 2024

Islaami saal ka aaghaaz maahe ramazaan se hota hai moharram se nahi

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


باسمه جلت اسمائه
يا صاحب الزمان ادركنا


Na'ae islaami saal ka aaghaaz maahe ramazaan se hota hai moharram se nahi


Hijri saal ki ibteda kaiyse ki gaei aur hijri saal ke mahine ke liae maahe moharram ka eintekhaab kaiyse huaa ?


Is ke baare me khud sunni olama ke darmeyaan kasrat se aekhtelaaf paaya jaata hai


Koei kahta hai ke Omar (Umar) ne kisi se mashwerah kiae beghair Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ki Makka mokarrama se Madina monaw'wara ki jaanib hijrat se islaami saal ki bunyaad rakhi aur san hijri ke mahine ka aaghaaz moharram se kiya


Lekin baaz jaiyse Shibli nomaani (شبلی نعمانی) saaheb "Al'faaruq" me yun raqam taraaz hain :


Saal ke aaghaaz ke liae Hazrat Ali (عليه السلام) ne hijrate nabawi ki tajwiz wa raa'ae di aur ous par sabka eittefaaq ho gaya


Aur baaz rewaayaat se eistefaada hota hai ke khud Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ne islaami saal ki eibteda hijrat ke saal se ki yaani aap is ke baani hain, taarikhi aur mustanad shawaahid se bhi is ki taa'eid hoti hai


Yaad rahe ke rabioul aw'wal se hijri saal ke mahine ki eibteda honi chaahiae moharram se nahi keyon ke isi mahine me Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne hijrat farmaaei thi


Aap ki hijrat ka waaqe'aa tafsili hai ous ki taraf mokhtasaran aeshaara kar dun


Kuffaaro mushrekin ne Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ke qatl ka mansuba banaaya to Rasule Khoda ne Amirul Momeneen Ali (عليهم السلام) ko ba'hukme khoda hukm diya ke mere bistar par so jaaei'ae Amirul Momeneen Ali (عليه السلام) Bistare Rasul (صلى الله عليه وآله) par so'ae aur Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ne hijrat ki


Hazrat Ali (عليه السلام) ne eisaar aur shojaa'at ki aek daa'aemi misaal qaa'aem ki, ye waaqe'aa "Lailatul Mabit" ke naam se mash'hur hai jise hamlog "Shabe Hijrat" ke naam se yaad karte hain


Lekin afsos sad afsos sunni olama is baat ki saari tafsilaat bayaan karte hain ke hijri saal ki eibteda Omar ne ki lekin shabe hijrat, Bistare Rasul par Hazrat Ali (سلام الله عليهم) ke sone waale aham waaqe'aa ko nazar andaaz kar dete hain


mazkuraa baala baaton ke mota'alliq saari tafsilaat aur bahso mobaahasa ko nazar andaaz karte huae bas itna bata dun ke shi'on ki mash'huro maaruf rewaayaat aur Maasumin (عليهم السلام) se maasur doa'on ke motaabiq na' ae islaami saal (yaani qamari saal) ka aaghaaz maahe ramazaan se hota hai


Ba'alfaaze digar ramazaanul mobaarak se qamari saal ka aaghaaz aur shaabaan par saal ka aekhtetaam hota hai


Ba'taure misaal yahaan sirf teen hadisen pesh karte hain :


  1. Asbagh Bin Nobaata bayaan karte hain ke jis maahe ramazaan Amirul Momeneen Ali (علیه السلام) ki shahaadat huei ous maahe ramazaan me aap ne dauraane khutba farmaaya :

  2. "أَتَاکُمْ شَهْرُ رَمَضَانَ وَ هُوَ سَیِّدُ الشُّهُورِ وَ أَوَّلُ السَّنَه"


    Tumhaare paas maahe ramazaan aaya hai, wo mahino ka sardaar hai aur saal ka aaghaaz hai


    (Behaarul anwaar jild - 42 safha - 193 matbuaa moas'sasa al'wafa)


  3. Imaam Saadiq (عليه السلام) ne farmaaya :

  4. "إِذَا سَلِمَ شَهْرُ رَمَضَانَ سَلِمَتِ السَّنَةُ وَ قَالَ رَأْسُ السَّنَةِ شَهْرُ رَمَضَانَ"


    Jab bhi maahe ramazaan sahiho saalim ho (yaani insaan zeyaafate aelaahi ke is mahine me ach'chhi tarah ruhaani gheza se eistefaada kare aur qalbe salim ke martabe par pahonch jaa'ae) to wo (saal bhar yaani agle maahe ramazaan tak) saalim rahe ga
    Aur farmaaya : na'ae saal ka aaghaaz maahe ramazaan hai


    (Aeqbaalul aamaaal jild - 1 safha - 4 taalif Syed Bin Taa'ous naashir daarul ketaab al'islaamiya)


  5. Imaam Reza (عليه السلام) ka irshaade geraami hai :

  6. "إِنَّمَا جُعِلَ یَوْمُ الْفِطْرِ الْعِیدَ لِیَکُونَ لِلْمُسْلِمِینَ مُجْتَمَعاً … وَ لِأَنَّهُ أَوَّلُ یَوْمٍ مِنَ السَّنَةِ یَحِلُّ فِیهِ الْأَکْلُ وَ الشُّرْبُ لِأَنَّ أَوَّلَ شُهُورِ السَّنَةِ عِنْدَ أَهْلِ الْحَقِّ شَهْرُ رَمَضَان ..."


    Beshak fitr ke din ko eid qaraar diya gaya taa'ke wo musalmaano ke jama wa aekat'thaa hone ka din ho... niz is waaste ous din ko eid qaraar diya gaya ke wo saal ka pahla din hai jis me khaana aur pina jaa'aez hai is liae ke saal ka pahla mahina ahle haq ke nazdik maahe ramazaan hai...


    (Manlaa yahzarohul faqih jild - 1 safha 330 baab eidain ki namaaz ke bayaan me naashir daarul azwa beirut)


Mazkura baala ahaadise mobaaraka se maalum huaa ke momeneen aur ahle haq ke saal ka aaghaaz ramazaanul mobaarak ke mahine se hota hai


Is bena par paanchwin sadi (taqriban nau sau paiyntaalish - 945 saal qabl) ke naamwar shi'a mohaddis, faqih aur motakallim Shaiykhut taa'aefa Shaiykh Tusi ne apni mash'huro maaruf ketaab "Misbaahul Motahajjid" me qamari saal ke aamaal ka silsila ramazaanul mobaarak se shuru kiya hai aur maahe shaabaan par khatm kiya hai


(Misbaahul motahajjid safha - 539 wa 825 matbuaa fiq'hush shia beirut)


Lekin aek aham sawaal ye paida hota hai ke Ahlebait (عليهم السلام) se jo rewaayaat aur doaa'aen kutube ahaadis wa doa me waarid huei hain oun me is baat par zor diya gaya hai ke na'ae saal ka aaghaaz ramazaanul mobaarak se hota hai be bezaa'at haqir ki nazron se koei aiysi rewaayat aur doa nahi guzri jis me ye zikr ho ke na'ae islaami saal ka aaghaaz moharram se hota hai lekin musalmaano ke darmeyaan aiysa qamari islaami, nezaame taarikh raa'aej hai jis ka aaghaaz moharram se hota hai aur yahi islaami calendar hai


Is mas'ale ke hal ke liae saatwin sadi (taqriban saat sau paiyntaalis - 745 saal qabl) ke Shia Mohaddis, Motakallim, Aarif aur Faqihe Ahlebait (عليهم السلام) Syed Bin Taa'ous ne ye taujih ki hai ke main ne jin motabar shia olama ke amal aur maazi ke bahot saare olama ki tasnif ki huei ketaabon ko dekha to ous se jo daryaaft kiya wo ye hai ke yaqinan saal ka aaghaaz maahe ramazaan se hota hai


Saal ki ibteda maahe ramazaan se hoti hai shaayad ye islaami aebaadaat ke ta'alluq se hai (yaani shaayad aebaadaat ke saal ka aaghaaz maahe ramazaan se hota hai) aur moharram se saal ka aaghaaz hota hai shaayad ye taarikh aur insaano ke aham kaamo ke ta'alluq se hai


(Aeqbaalul aamaal jild - 1 safha - 4 wa 5 taalif Syed Bin Taa'ous naashir daarul kotubul islaamiya)


Syed Bin Taa'ous ki taujih ka kholaasa :


Sharei aur bandagi ke saal ka aaghaaz maahe ramazaan hai aur taarikhi wa ourfi saal ka aaghaaz maahe moharram hai


Bahar'kaif rewaayaat ke motaabiq momeneen aur ahle haq ke saal ka aaghaaz ramazaanul mobaarak se hota hai maahe moharram se nahi


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat


3 / ramazaanul mobaarak / 1445 H.Q

subscribe us on youtube


Is tahrir ko "Saiyed Mohammad Taabish" ne urdu se roman urdu me tabdil kiya hai

No comments:

Comment

.