اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : Mohtaram Janaab Shahaab Sb. / Lucknow
Salam Alaikum Wrwb
Janab Qabristan marhoomin ki qabr per Jane k silsiley me koi video banai ho to link bhejne ki zahmat gavara kijiyega insha'Allah.
Sawal hai ke Shabe Juma qabristan Jana chahiye ya nahi ya kisi bhi shab me nahi Jana chahiye ?
Aur marhoomin ki qabr per kam se kam ya zyada se zyada mahine ya hafte me kitni baar ja sakte hain ?
Aur kya walidain ke inteqal ke saal bhar ya kisi muddat ke baad jana kam kar dena chahiye
zahmat hogi
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Mard ho ya aurat, waaledain ya momeneen ki qabr par jetni baar chaahen jaa sakte hain lekin rewaayat se maalum hota hai ke hafte me chaar martaba yaani sanichar (saturday), somwaar (monday), jumeraat (thursday) aur jum'aa (friday) ke din jaana behtar hai
Waaledain ya momeneen ki qabron par jaane ki koei tahdid (had bandi) zikr nahi ki gaei hai ke saal bhar ya kuchh muddat ke baad jaana kam kar dena chaahiae
Waazeh rahe ke Ahlebait (عليهم السلام) aur islaam ne meyaana rawi ki taalim di hai, kisi bhi moaamale me eifraato tafrit (ghair motadil haalat) ki mazammat ki hai hatta aqide me eifraato tafrit se kaam lena qaabile mazammat hai masalan ghaali aur naasebi dono eifraato tafrit ka shekaar hain is liae ye maghzud hain
Aebaadat me bhi eifraato tafrit ka shekaar hone ko qaabile mazammat qaraar diya hai
Is mauzu par osule kaafi me aek baab hai "Al'eiqtesaad Fil Aebaadah" aebaadat me aetedaal wa meyaana rawi yaani aebaadat jaiyse namaaz waghairah me bhi meyaana rawi aekhteyaar karna chaahi'ae
Qabron par jaane ke ta'alluq se bhi ham eifraato tafrit ka shekaar na hon
kasrat se qabron par jaana hamen dusre faraa'aez se ghaafil kar de jaiyse ahlo ayaal se ghaafil ho jaa'ae ya oun ke liae talabe ma'aash na kare ya rishtedaaron se kat jaa'ae ya roz marra ke mo'aamalaat mota'assir hon to kasrat se jaana ghalat hai, is ki momaana'at farmaa'ei hai
aur aiysa bhi na ho ke roz marra ke kaam ya ahlo ayaal ya rishtedaaron ya samaajo mo'aashera ki wajah se bilkul na jaa'ae ya bahot kam jaa'ae masalan hafte ya mahine me aek baar bhi na jaa'ae to ye bhi ghalat hai aur islaami taalimaat ke khelaaf hai lehaaza hamen chaahiae ke qabr par jaane me bhi meyaana rawi aekhteyaar karen aur eifraato tafrit se bachen
Qabr par jaane ke mauzu par haqir ke dars ki DVD aek saahab ke paas maujud thi jo gum ho gaei is liae filhaal video nahi bani hai is ka mujhe bahot afsos hai
Baaqi sawaal ka jawaab padhne aur mazid maalumaat ke liae niche di gaei headline par click karen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad - Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
13 / zilhijjah / 1445 H.Q
Mofid maalumaat ke liae niche di gaei headline par click karen
- Keya ruhen bhatakti rahti hain | parishaan karti hain ? | ruh khud se nikalti hai ya koei qabz karta hai ?
- Keya arwaah apne gharon me aati hain ? | ghar waalon ko dekhti hain ? | kis din aati hain ?
- keya ruh ko haazir karna momkin aur jaa'aez hai ? | aawa-gawan ke baatil hone par dalil (video)
- moharram me murdon ke liae nazr-o-neyaaz | azaadaari ke sawaab me murdon ko sharik karna | murde ki nazr dusre ke ghar me
mazid maalumaat ke liae "Menu" me "May'yit arwaah ka shoba dekh len
No comments:
Comment