Ach'chhe aur bure naamon ke asaraat ki haqiqat | Har tarah ki bimaari se bachne ke liae doa aur nuskhe - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, May 14, 2025

Ach'chhe aur bure naamon ke asaraat ki haqiqat | Har tarah ki bimaari se bachne ke liae doa aur nuskhe

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : Beraadare mohtaram :


Salamun Alaikum Janab
Mai Mohammad Zaigam Ali Uttar Pradesh Se
Aor Aap Khairiyat Se Hai Janab


Wiladat Hazrat Imam Ali Reza a.s Bahot Mubarak Ho Aapko


Janab Mera Beta 19 Mahine Ka Hai Vo Baar Baar Bimar Pad Jaata Hai Kuchh Khata Hai To Ulti Kar Deta Hai Badi Mannat Murad Se Allah Paak Ne Diya Hai


Uska Naam Mohammad Aarish Muslim Hai
Kya Naam Se To Koi Asraat Nhi Iski Wajahat Kar De Janab


Janab Ye Msg ... Group Me Mat Daaliyega


Jawaab :


باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Alhamdolillah
aap ko bhi bahot bahot mobaarak ho


Mokhtasar jawaab :


Mohammad aur Muslim ach'chha, oumdah aur baa barkat naam hai


Aarash faarsi zabaan ka lafz hai arabi lafz nahi jis ke maani aaqil aur hoshiyaar ke hain aur irani baadshaah "Manuchehr" ke zamaane ke aek teer andaaz wa naamwar pahalwaan ka naam hai


Fi nafseh is naam me koei haraj nahi lekin is se behtar bhi naam maujud hain


Bimaar rahne ka sabab aap ke bach'che ka naam nahi ous ki sehat par naam ke asar andaaz hone ka tasaw'wur durust nahi hai kisi rewaayat me ham ne aiysi koei baat nahi dekhi ke insaan ya bach'che ke naam ka ous ki sehat par asar hota hai


Bimaari me mubtala hona naam ki wajah se nahi hai, bimaari laahaq hone ki asl wajah kuchh aur ho sakti hai, kisi ach'chhe wa mustanad doctor se aelaaj karwaa'aen


Qadre tafsili jawaab :


Aayaat aur rewaayaat ke motaabiq ye kaha jaa sakta hai ke insaan ke naam ka ous ki dunyaawi aur oukhrawi zindagi par asar hota hai is bena par bahot si ahaadees me apne bach'cho ke liae ach'chhe naamon ka intekhaab karne ki hedaayat farmaa'ei gaei hai aur bure, kharaab, mohmal, be maani aur ghair islaami naam rakhne se mana farmaaya gaya hai


Ach'chhe naamon ke ach'chhe aur bure naamon ke bure asaraat hote hain


Ahlebait (سلام الله عليهم) ki nazar me ye mauzu intehaaei ahamiyat ka haamil hai


Solaymaan Jaafari se rewaayat hai ke Imaam Kaazim (عليه السلام) ne farmaaya :


" لَا يَدْخُلُ الْفَقْرُ بَيْتًا فِيهِ اسْمُ مُحَمَّدٍ وَأَحْمَدَ وَعَلِيٍّ وَالْحَسَنِ وَالْحُسَيْنِ أَوْ جَعْفَرٍ أَوْ طَالِبٍ أَوْ عَبْدِ اللَّهِ أَوْ فَاطِمَةَ مِنْ النِّسَاءِ عَلَيْهِمْ‌السَّلَامْ "


"Ghurbat wa tang dasti ous ghar me daakhil nahi hoti jis me naam ; Mohammad, Ahmad, Ali, Hasan, Husain yaa Jaafar yaa Taalib yaa Abdullah yaa auraton me se Faatemah عليهم السلام ho"


[Tahzibul ahkaam jild 7 p 438 taaleef shaikhut'taa'aefah (shaikh tusi)]


Is se pata chalta hai ke naam ka asar insaan ki zindagi par bhi padta hai


Insaan ki zindagi aur shakhsiyat par ach'chhe aur bure naamon ke asaraat padne ko jadeed science ne bhi tasleem kiya hai albatta naamon me ye asar khoda ne rakha hai naam bazaate khud na kisi ko nafa pahuncha sakta hai aur na noqsaan


Waazeh rahe ke zaruri nahi hai ke har aek ki zindagi par zarur biz'zarur naam ke asaraat morattab hi hon ge balke ho sakta hai kisi par naam ke asaraat morattab na hon


Ye dawaa ki tarah hai adviyaat kisi par asar andaaz hoti hain aur kisi par asar nahi daalti hain lekin ye aek naa qaabile inkaar haqiqat hai ke nafseyaati, zehni, fikri aur ruhaani aetebaar se insaani shakhsiyat, samaajo mo'aashare aur ijtemaa'ei hayaat par ach'chhe aur bure naamon ka asar padta hai


Shaadi na hone yaa miyaan biwi ke darmeyaan aekhtelaaf ho jaane yaa aulaad na hone yaa ghurbat yaa bimaari yaa bach'chon ke ziddi pan waghairah ki wajah se baaz log apne yaa bach'chon ke naam tabdeel kar rahe hain, had ho gaei ach'chhe aur Ahlebait (عليهم السلام) ke naam par rakhe ga'ae naam ko bhi badal kar behudah naam rakhe jaa rahe hain


Ahlebait (عليهم السلام) ke naamon se behtar naam keya hoga ?


Zeyaarate jaame'ah me hai :


" فَما أحْلى أسْماءَكُم "


"Ketne shirin wa pyaare aap ke naam hain"


Paise kamaane ke liae kisi huq'qah baaz ne oun logon se ye kah diya ke bimaari yaa ghurbat ... dur karne ke liae apna yaa bach'che ka naam badal do


Bimaari yaa ghurbat waghairah ki wajah ye hai ke tumhaare yaa bach'cho ke naam setaaron ki monaasebat se yaa taarikhe paidaa'eish ke hesaab se yaa horufe abjad wa tahaj'ji ke lehaaz ... se nahi rakhe ga'ae hain


Rewaayaat yaa olamaa'ae keraam ke qaul me aiysi koei baat nahi dekhi ke setaaron ki monaasebat se yaa taarikhe paidaa'eish ke hesaab se yaa horufe abjad ke lehaaz se naam rakhna chaahiae yaa Qur'aan hakeem se naam tajweez karna chaahiae yaa parishaani, jismaani amraaz yaa ghurbat waghairah ko dur karne ke liae naam badalna chaahiae yaa bach'chon ke naam ous ki sehat par asar andaaz hote hain yaa naam badalne se qismat badal jaati hai


Khulaasa'ae kalaam :


Bach'che ke naam ka ous ki sehat par asar andaaz hone yaa mushkelaat wa masaa'ael ko hal karne ke liae naam tabdeel karne par koei aqli yaa naqli dalil nahi hai


Ye amal khoda par bharosah karne aur atiya'ae aelaahi se faa'aedah outhaane se motasaadim hai


Ye bhi malhuze khaatir rahe ke aiysi rewaayaat maujud hain jis me bataaya gaya hai ke Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne baaz logon aur shahron ke bure wa naa monaasib naam badal kar oun ki jagah ach'chha naam rakh diya aur A'eimmah At'haar (عليهم السلام) ne bure naamon se roka hai aur tabdeel karne ki hedaayat farmaa'ei hai


Aiysi rewaayaat se maalum huaa ke bure wa kharaab naam badal kar oun ki jagah ach'chha naam rakh diya jaa'ae


Mazkurah baalaa bayaan ke hawaale se aham maalumaat aur tafsilaat hain jin ko tawaalat ke khauf se tark kiya jaata hai


Aakhir me har tarah ki bimaariyon se bachne ke liae doa aur chand nuskhe peshe khidmat hain :


  1. Agar aqiqah na huaa ho aur qurbaani ke liae maali haalat ach'chhi hai to aqiqah karaa'aen

  2. Bimaari ko taalne ke liae hasbe istetaa'at wa taufiq sadqah den

  3. Imaam Saadiq (عليه السلام) ka irshaade geraami hai :


    « دَاوُوا مَرْضَاكُمْ‌ بِالصَّدَقَة ... »


    "Sadqah ke zariae apne marizon ka aelaaj karo ..."


    (Osule kaafi jild 4 p 3 matbuah al-islaamiyah)


  4. Chaaron qul, aayatul kursi aur zeyaarate aashurah padh kar mareez par phunken

  5. Behtar ye hai ke is tarah padhen ke mareez sune


    Waazeh rahe ke ye khud mareez ko padhnaa chaahiae jadid research se saabit huaa hai ke mareez par sab se zeyaadah asar khud ous ki apni aawaaz ka hota hai


  6. Imaam Reza (عليه السلام) ne farmaaya :

  7. Har maraz ke liae darj zail zikr padh kar mareez par dam karo


    " يَا مُنْزِلَ الشِّفَاءِ وَ مُذْهِبَ الدَّاءِ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَ آلِهِ [وَ آلِ مُحَمَّدٍ] وَ أَنْزِلْ عَلَى وَجَعِيَ الشِّفَاءَ "


    "Yaa munzelash shefaa wa muzhebad daa salle ala mohammad wa aalehi [ wa aale mohammad ] wa anzil ala waja'aeyash shefaa"


    Tarjumah :


    "Ay shefaa naazil karne waale aur bimaari ko dur karne waale mohammad aur oun ki aal par dorud bhej aur mere dard par shefaa naazil farmaa"


    (Misbaahe kaf'ami p 152)


  8. Hirze 14 maasumeen (صلوات الله وسلامه عليهم) gale me latkaa den yaa baazu par baandh den chaahe mareez ho yaa sehat mand

Note :


  1. Bimaari se bachne ke liae bataa'ae ga'ae omur par amal karne se pahle wozu kar len keyon ke ye taaseer me aezaafe kaa baa'aes hai

  2. Mazeed wa mofeed maalumaat ke liae niche di gaei headline par click karen

    1. Bach'chon ka naam paydaaeish ke pahle aur ach'chhe rakhen

    2. Nazare bad | bala | bimaari waghairah se mahfuz rakhne ke liae qurbaani | ous ke gosht ka hukm | kaun sa jaanwar qurbaani karen ?

    3. Eilme aadaad ke zariae naam ke aadaad nikaalne | nag pahenne ka hukm | mariz ke liae mofid nag

    Khoda be'haqqe 14 maasumeen (سلام الله عليهم) aap ke bach'che ko sehat aur tandurusti ataa farmaa'ae


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


15 / zilqadah / 1446 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen