اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : Mohtaram Janaab Syed Faraz Abbas Sb. Ranchi
Salam Walekum....
Question:- Kiya Ghar mein Quran ka audio (youtube ya koee bhi recoded audio) lagaya ja sakta hai, jis se quran ki tilawat ki awaz ghar mein gunje.....
Kiya es mein koee harj hai, Jesa ki dekha gaya hai ki kaee log subha apne apne gharo ya dukano me lagate hain... maksad barkat ...
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Koei haraj nahi jaa'aez hai balke pasandidah wa mustahsan kaam hai
Lekin behtar ye hai aur adab wa aehteraam ka taqaaza ye hai ke jo telaawate qur'aan kareem sun raha hai wo ye 2 kaam kare
- Dil se sune
- Kalaame aelaahi par tawaj'joh ke saath khaamosh rahe
Khoda ne khud farmaaya hai :
وَإِذَا قُرِئَ الْقُرْآنُ فَاسْتَمِعُوا لَهُ وَأَنْصِتُوا لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ
Aur jab qur'aan padha jaa'ae to ouse kaan laga kar (ghaur se) suno aur khaamosh raho shaayad tumhen khoda ki rahmat se nawaaza jaa'ae
(Aaraaf aayat 204)
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
4 / zilqaadah / 1446 H.Q
No comments:
Comment