اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
باسمه جلت اسمائه
Jaunpur ke afsos'naak waaqe'ae par izhaare khayaal
Jaunpur / UP me Imaam Sajjaad (علیه السلام) ka alaamati janaaza outhaaya gaya aur ous ki tadfeen ki gaei, ous ki sakht mazammat ki gaei aur baani ne mo'aafi bhi maang li ous ke baad bhi social media waghairah par mauzu'ae bahas bana hua hai jab ke ghalti par izhaare afsos aur maazerat ke baad aiysa nahi hona chaahiae aur baaz log kah rahe hain mo'aafi qaabile qabul nahi
Mai aiyse logon se puchhta hun ke keya koei aiysa gunaah hai jise Khoda mo'aaf nahi karega ? Khoda ka fazl laa'mahdud hai, sach'chi tauba se kabirah gunaah bhi mo'aaf ho jaate hain. Khoda ki rahmat bahaana dhundti hai
Dusre ye ke Doa'ae Kumail me Khoda ke liae hai "يَا سَرِيعَ الرِّضَا / Yaa sari ar'rezaa (Ay jaldi raazi hone waali zaat)"
Maasumin (علیهم السلام) in sefaat ke mazhare akmal hain
Keya Jaunpur ka waaqe'aa Hazrat Hur (سلام الله علیه) ke gunaah se bada gunaah hai ? Imaam Husain (علیه السلام) ne to ounhen mo'aaf kar diya aur Hur ka khetaab diya. Keya ham Khoda aur Maasumin (علیهم السلام) Se bhi (Ma'aazallah) do haath aage hain ?
Afsos hamaare mo'aashare me kabhi kabhi narmi ki jagah bejaa sakhti le leti hai
Sab se guzaarish hai ke is mas'ale ko ab khatm kar den taake asl azadaari se tawajjoh na hate
W.salaam
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadime edaara-e-darul itrat
Hauza'ae eimliyah Qumul moqaddas / Iran
3 / Safar / 1447 H.Q
Di gaei headline par click kar ke tahrir ka padhna mofid hai insha'allah
No comments:
Comment