اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
باسمه جلت اسمائه
ياصاحب الزمان ادركنا
Keya arbaeen se pahle aur baad me zeyaarate arbaeen padhi jaa sakti hai ?
Momeneen aur momenaat, zeyaarate arbaeen ki ahamiyat aur fazeelat se aagaah hain aur ye bhi jaante hain ke ye zeyaarat, arbaeen ke din yaani 20 safar ko padhi jaati hai lekin Arbaeen-E-Husaini ke ay'yaam ki aamad ke mauqe par karbala-e-mo'alla ke zaa'aerine keraam puchhte hain ke karbala me alhamdo lillah sakht bheed aur hojum ke peshe nazar keya ye zeyaarat 20 safar se pahle ya ous ke baad padh sakte hain ?
masalan arbaeen se 5 roz pahle ya ous ke 5 roz baad padh sakte hain ?
Aekhtesaar ke peshe nazar sirf 2 maraaje aezaam ka nazariya apne alfaaz me pesh karne ki sa'aadat haasil kar rahe hain.
- Qaa'aede inqelaab Aayatullah Khamenei :
- Aayatullah Sistaani :
Zeyaarate arbaeen ke khosusi sawaab ke liye arbaeen ka din moqarrar kiya gaya hai, zeyaarate arbaeen ka khaas sawaab roze arbaeen me hai kisi dusre din me nahi. masalan zeyaarate arbaeen ke liye 20 safar ki taarikh, jo sawaab is taarikh me hai ous ke baad nahi. albatta zeyaarate arbaeen ka khosusi sawaab haasil karne ke liye rajaa ke qasd yaani khosusi sawaab milne ki oummeed se Arbaeen-E-Husaini se pahle ya ous ke baad padh sakte hain koei haraj nahi hai.
Arbaeen se 5 roz qabl aur ous ke 5 roz baad bhi zeyaarate arbaeen padh sakte hain, padhna durust hai aur padhne ka sawaab hai.
Tamaam Zaa'aereene Husaini Se Khosusi Doa Ki Darkhaast Hai
Syed Shamshad Ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat
18 / safar / 1447 H.Q
No comments:
Comment