اردو میں پڑھنے کے لیے یہاں دبائیں
باسمہ جلت اسمائہ
یاصاحب الزمان ادرکنا
Bani Israeil ki naa shukri aur zindagi ki mushkelaat ko aasaan karne ke liye padhi jaane waali doa
Rasule Khoda (صلی الله علیہ و آلہ) ne farmaaya :
Khabar daar tum waisa na karo jaisa Bani Israeil ne kiya (Banu Israeil ko wo nematen milin jo kisi dusri qaum ko na milin jaise darya ka phat jaana, chashmon ka jaari ho jaana, zamini anaaj ataa kiya jaana aur man'no salwa outaarna ... jis ko Khoda ne apni qudrate kaamelah se Bani Israeil ke liye gheza banaa kar outaara tha lekin Bani Israeil ne oun nematon ki qadr na ki, ous ko kam samjha, khaatir me na laa'ae, apne rab ki naa shukri ki aur kahne lage khoda hamaare liye masur, peyaaz aur lahsan waghairah keyon nahi bhejta) tum khoda ki nematon ko kam na samjho, ous ko khaatir me laao aur jab tum me se koei apne rizqo rozi wa ma'eishat me tangi aur aiysi chiz se do chaar ho jise wo naa pasand karta ho (jab ke momkin hai wo ous ke liye ach'chhi wa behtar ho lehaaza) Khoda se kisi chiz ka motaalaba sakhti wa shid'dat se ya be samjhe bhujhe na kare, koei chiz maangne par israar na kare keyon ke momkin hai ke jis chiz par wo israar kar raha hai wahi ous ki maut aur halaakat ka sabab ban jaa'ae
Albatta ouse is tarah doa karni chaahiye :
اَللَّهُمَّ بِجَاهِ مُحَمَّدٍ وَ آلِهِ اَلطَّيِّبِينَ إِنْ كَانَ مَا كَرِهْتُهُ مِنْ أَمْرِي هَذَا خَيْراً لِي وَ أَفْضَلَ فِي دِينِي فَصَبِّرْنِي عَلَيْهِ وَ قَوِّنِي عَلَى اِحْتِمَالِهِ وَ نَشِّطْنِي لِلنُّهُوضِ بِثِقْلِ أَعْبَائِهِ وَ إِنْ كَانَ خِلاَفُ ذَلِكَ خَيْراً فَجُدْ عَلَيَّ بِهِ وَ رَضِّنِي بِقَضَائِكَ عَلَى كُلِّ حَالٍ فَلَكَ اَلْحَمْدُ
Allaahumma be'jaahe mohammad wa aalehit tay'yebeen in kaana maa karehtohu min amri haazaa khairan li wa afzal fi dini fa sabbirni alayhe wa qaw'weni alaa aehtemaalehi wa nash'shitni lin'nohuz be'siqle aabaa'aehi wa in kaana khelaafo zaalik khairan fa'jud aly'ya behi wa raz'zeni be'qazaa'aek alaa kulle haal fa'lakal hamd
Ay Allah ! Mohammad aur oun ki paakiza Aal ke baland maqaam ki qasam, agar yahi chiz jo mujhe naa gawaar hai aur jis ka mai apni zindagi me saamna kar raha hun, meri bhalaaei aur sa'aadat ka baa'aes hai aur mere deen ke liye behtar hai to mujhe ous ke moqaabale me sabro tahammul ki taufiq ataa farmaa aur mujhe ous ko bardaasht karne ki taaqat ataa farma aur ous bhaari bojh (jo mujhe naa gawaar hai) ko outhaane ke liye mujhe neshaat aur sokun ataa farma aur agar ous ke bar khelaaf koei chiz mere haq me behtar hai to apne fazlo jud se mere nasib me wahi likh de jo mere haq me behtar ho aur har haal me mujhe apni qazaa aur faisle par raazi rahne ki taufiq ataa farmaa, hamdo sanaa sirf tere hi liye hai
Jab bhi is tarah doa karo ge to moqad'daraate aelaahi ach'chhe hon ge aur tumhaari bhalaaei aur falaah ke asbaab aasaani se mohay'yaa hon ge
Behaarul anwaar - jild 71 - p 149
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadime edaara-e-darul itrat
6 / Rabiyus'saani / 1447 H.Q
No comments:
Comment