Labbaik Ya Khomeini ya Labbaik Ya Khamenei kahna kaiysa hai ? - Edaara-e-darul itrat
Labbaik Ya Khomeini ya Labbaik Ya Khamenei kahna kaiysa hai ?

Sunday, October 26, 2025

Labbaik Ya Khomeini ya Labbaik Ya Khamenei kahna kaiysa hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیے یہاں دبائیں


Sawaal az : ...


Salamun Alaikum Janab,
Ummed hai alhamdolillah aap khairiyat sey honge.


In dino kai shia ye kehney lagey hain ki aaj kal na janey kyon mimbar sey aur jalson/majlison mein log labbaik ya Khamenei, Labbaik ya Khumaini ka nara laganey lagey hain!


In objection karney walon ka kehna hai ki kya ye Ayatullah Khameni Sb. Masoomeen (a.s) ke barabar ho gaye hain? ki jaisey nara-e-haidery ya labbaik ya hussain (a.s) ka nara lagaya jata hai waisey hi inke liye nara lagaya aur lagwaya ja raha hai!!


Yaani aisey log apni guftagoo sey apni baat ko rakhney ki koshish kar rahey hain shiyon ke beech mein..


Kya labbayk ya Khamenei kehna ghalat hai? Nahin kehna chahiye?


Agar kehney mein koi harj nahin hai tou aisey confusion ko failaney walon ki islaah mimbar sey aur khutbon sey hona chahiye..


In ko shayad ye samajh nahin hai ab tak ki aaj shiyat apne urooj pe hai alhamdolillah tou ismein Iran aur Ayatullah Khamenei Sb. Ka bahut bada contribution hai..
Unkey amaal, hausla, himmat aur haq ke liye unke jazbey ko salam..


Jiske aage puri duniya jhookne ko tayyar wo usko apney jutey ke barabar nahin lagatey kyon ki deen-e-islam mein zaalim ko benqaab karna sharai zimmedari hai..(maine ghalat kaha?)


Maine bass aap sey share kia.
Aap sey Islaah ki dast-basta guzarish hai.
Mera naam na lia jaye..(aap sey guzarish hai)
Jazakallah Khairan.
Iltemaas-e-Dua.


Jawaab :


باسمہ تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمت اللہ و برکاتہ
الحمد للہ


Sab se pahle to ye bata dun ke "Lab'baik" arabi zabaan ka aek lafz wa fiqrah hai jis ka maani wa mafhum hai :


Aap ke liye baar baar haazir hun ya mosalsal aap ki aetaa'at par qaa'aem hun ya aap ki khidmat me haazir hun ya mai tere saamne har dam maujud wa haazir hun waghairah


Haj aur oumrah donon ke liye "Lab'baik" kahte hain


Ye zikr tauhidi hai, haj ka she'aar hai, haj ki zinat hai aur momin ki alaamat hai


Ye lafz aam taur par kisi ke bolaane ke jawaab me kaha jaata hai, haj ya oumre ke liye Khoda aur Hazrat Ibraaheem ki daawat wa bolaane par jawaaban "Lab'baik" kahte hain


Agar koei shakhs lafz "Lab'baik" istemaal karte waqt Khoda ki zaat me kisi ko shareek thahraa'ae ya ous ke baraabar qaraar de to is ka istemaal hat'ta Maasumeen (علیہم السلام) ke liye bhi sahih nahi hai keyon ke aiysa karna shirk ke zumre me aa'aegaa


Mazkurah baala tamheed ke baad jawaab ye hai ke :


"Lab'baik ya khomeini" ya "Lab'baik ya khamenei" waghairah kahna na mutlaqa ghalat hai aur na mutlaqa durust wa sahih hai balke is ki mokhtalif suraten ho sakti hain oun suraton ke aetebaar se ous ke ahkaam bhi mokhtalif hon ge jin ki tafseel darj zail hai :


  1. Agar "Lab'baik ya khomeini" ya "Lab'baik ya khamenei" waghairah kahne ka maqsad ye ho ke Imaam khomeini  (قُدِّسَ سِرُّه) ya Aayatullah khamenei (حَفِظَهُ الله) ... Maasumeen (صلوات اللہ و سلامہ علیہم) ke baraabar wa ham pallah hain (نعوذ باللہ من ذالک)

  2. Aiysa qasd wa aeraadah na sirf ye ke ghalat wa baatil hai balke bahot bada gunaah wa gumraahi hai aur Maasumeen (علیہم السلام) par zulme azeem


    Koei bhi Maasumeen (سلام اللہ علیہم) ke baraabar nahi ho sakta, bhalaa kahaan Maasumeen ka martaba aur kahaan logon wa olamaa ke maraatib!


    Agar koei aadmi lafz "Lab'baik" istemaal karte waqt kisi ko hatta Maasumeen (علیہم السلام) ko Khoda ke baraabar qaraar de to ye zalaalat, gumraahi aur halaakat hai isi tarah agar koei shakhs kisi ko hatta olamaa wa Aayaate keraam ko Maasumeen (علیہم السلام) ke baraabar qaraar de to ye bhi zalaalat, gumraahi aur halaakat hai


    Jo shakhs Imaam khomeini ya Aayatullah khamenei waghairah ko Maasumeen (علیهم السلام) ke baraabar samjhe to ous ki is ghalat fahmi ko dur karne aur ous ki hedaayat ke liye hattal imkaan koshish karni chaahiye


    Aek motabar hadees me Maasumeen (علیہم السلام) ne irshaad farmaaya :


    " نَحْنُ أَهْلَ اَلْبَيْتِ لاَ يُقَاسُ بِنَا أَحَدٌ ..."

    "Ham hain Ahlebait, ham par kisi ko bhi qeyaas nahi kiya jaa sakta ..."


    Hawaalah :


    1. oyuno akhbaarir reza - jild 2 - p 66 - taaleef shaikh saduq (shia ketaab)

    2. kanzul oummaal - jild 12 - p 104 - hadees 34201 (sunni ketaab)

  3. Dusri surat ye hai ke "Lab'baik yaa khomeini" ya "Lab'baik yaa khamenei" waghairah kahne ka maqsad imaam khomeini ya Aayatullah khamenei ko Maasumeen (سلام اللہ علیہم) ke baraabar qaraar na dena aur aap hazaraat ka moqaa'aesa wa mowaazena Maasumeen (علیہم السلام) se karna na ho balke maqsad ye ho ke Imaam Khomeini aur Aayatullah Khamenei ne Khoda, Qur'aan, Haqiqi Islaam, Maasumeen (علیہم السلام) ki be misaal taalimaat wa sirat aur zaalim wa mazlum ke saath bartaao ke tariqon ki taraf daawat di aur de rahe hain, ous ki taraf bolaaya aur bolaa rahe hain lehaaza oun ki daawat, pukaar aur bolaawe ke jawaab me arz karte hain "Lab'baik ya khomeini - Lab'aik ya khamenei" (ay khomeini ay khamenei aap ki farmaan'bardaari ke liye har waqt haazir wa tay'yaar hun)

  4. Is surat me "Lab'baik yaa khomeini" ya "Lab'baik yaa khamenei" ... ka naara lagaa sakte hain is me shar'an koei haraj nahi
    aek mustahsan wa pasandidah amal hai


    Ye Lab'baik dar haqiqat Maasumeen (علیہم السلام) ki aawaaz wa pukaar par hai


    Jo log "Lab'baik Ya Rasulallah - Lab'baik ya Husain" ... aur " Lab'baik ya Khomeini - Lab'baik ya Khamenei" ... jaiyse naaron par aeteraaz outhaate hain mere kheyaal me ye wo log hain jo samajhte hain ke "Lab'baik" Khoda aur Maasumeen (علیہم السلام) ke saath khaas wa makhsus hai haalaanke aiysa nahi hai


    Lafz "Lab'baik" ka istemaal ghairullah ke liye ho sakta hai
    ghairullah se moraad khoda ke aelaawah har chiz hai khaah wo khoda ke khaas bande jaiyse Maasumeen (علیہم السلام) hon ya aam bande


    Aek tafsili rewaayat hai ous me Nabi ke saath aap ke Ahlebait (علیہم السلام) par salawaat bhejne ka sawaab wa fazeelat bayaan ki gaei hai


    Mauzuae bahs se mota'alliq ous rewaayat ka hissa molaaheza farmaa'aen :


    "... لَبَّيْكَ عَبْدِي وَ سَعْدَيْكَ ..."

    " ... Lab'baik mere bande, tum khush naseeb wa nek bakht ho ... "


    Sawaabul aamaal - p 157 - taaleef shaikh saduq

    Jis bande ne Rasule Akram ke saath aap ke Ahlebait (صلوات اللہ و سلامہ علیہم) par salawaat bheji ous ke liye Khoda ki taraf se "Lab'baik abdi" ki neda aaei


    Molaaheza farmaaya ke Khoda ne aam bande ke liye "Lab'baik" kaha


    Jab Khoda jaiysi be misl hasti aam bande ke liye "Lab'baik" kah sakti hai to badarja'ae aula momeneen, azeem foqahaa wa olama ki aawaaz wa pukaar par "Lab'baik" kah sakte hain


    Agar na kahen to bahot hi afsos ki baat hai keyon ke foqahaa'ae keraam Imaame Zamaana (عجل اللہ تعالی فرجہ الشریف) ke naa'aebaane aam hain


Khulaasa'ae jawaab ye huaa :


"Lab'baik Ya Khomeini" ya "Lab'baik Ya Khamenei" kahna na mutlaqa mamnu hai aur na hi mutlaqa jaa'aez hai balke is me tafseel hai, tafseel ka zikr oupar ho chuka hai


Yahaan ye arz karna zaruri samajhta hun ke tamaam momeneen ko chaahiye ke mahaafilo majaalis me aiyse naare "salawaat" ki jagah na len agar aiyse naare lagaana wafaa daari ka aelaan aur zaruri hon to naara lagaane se pahle Mohammad wa Aale Mohammad (صلوات اللہ و سلامہ علیہم) par salawaat bhejen


Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofeed hai ان شاءاللہ


  • Keya "Labbaik Ya Husain" kahna shirk hai ? aur sab se pahle "Labbaik Ya Husain" kis ne kaha ?

  • اَللّهُمَّ عَجِّلْ لِوَلِیِّکَ الْفَرَجَ وَ الْعافِیَةَ وَ النَّصْرَ وَ اجْعَلْنا مِنْ خَیْرِ اَنْصارِهِ وَ اَعْوانِهِ وَ الْمُسْتَشْهَدینَ بَیْنَ یَدَیْهِ


    والسلام

    Syed Shamshad Ali Katokhari
    khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


    3 / jomaadiyul awwal / 1447 H.Q

    subscribe us on youtube

    No comments:

    Comment

    .
    WhatsAppWhatsApp par sawaal karen