Omur me kushaadgi, mushkelaat aur ghamon ko dur karne aur jail se rehaaei ke liye Imaam Jawad (Alayhis salaam) ki sikhaaei huei doa - Edaara-e-darul itrat
Labbaik Ya Khomeini ya Labbaik Ya Khamenei kahna kaiysa hai ?

Thursday, October 9, 2025

Omur me kushaadgi, mushkelaat aur ghamon ko dur karne aur jail se rehaaei ke liye Imaam Jawad (Alayhis salaam) ki sikhaaei huei doa

اردو میں پڑھنے کے لیے یہاں دبائیں


باسمہ جلت اسمائہ
یاصاحب الزمان ادرکنا


Omur me kushaadgi, mushkelaat aur ghamon ko dur karne aur jail se rehaaei ke liye Imaam Jawad (Alayhis salaam) ki sikhaaei huei doa :


يَا مَنْ يَكْفِي مِنْ كُلِّ شَيْ‌ءٍ وَ لَا يَكْفِي مِنْهُ شَيْ‌ءٌ اِكْفِنِي مَا أَهَمَّنِي مِمَّا أَنَا فِيهِ


Ya man yakfi min kulle shaiy, wa laa yakfi minho shaiy, eikfeni maa ahammani mimmaa anaa fih


Is ka maani wa matlab :


Ay Khoda jo har chiz se be neyaaz hai aur koei chiz ous se be neyaaz nahi hai (yaani sab Khoda ke mohtaaj hain) ous chiz me meri madad farmaa jis ne mujhe ghamgin aur parishaan kar rakha hai


Waazeh rahe ke is doa ko paabandi se hameshaa padhen, mokhtasar hai zabaani yaad kar sakte hain


Osule kaafi jild 2 p 560


Syed Shamshad Ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat


16 / rabious saani / 1447 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen