Shaadi ke liye eilme jafr se faal nikaalna | Aqiqah karne ke baad naam tabdil karna aur kaei martaba aqiqah karaana kaiysa hai ? - Edaara-e-darul itrat
Labbaik Ya Khomeini ya Labbaik Ya Khamenei kahna kaiysa hai ?

Thursday, November 6, 2025

Shaadi ke liye eilme jafr se faal nikaalna | Aqiqah karne ke baad naam tabdil karna aur kaei martaba aqiqah karaana kaiysa hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیے یہاں دبائیں


Sawaal az : ...


Aagha Salaam Alaikum


Buzurgon k hisaab se jis bachchi ka naam Quran majeed k hawaale se naam k huroof k zariye se Bachchi ka naam rakh k us bachchi ka aqeeqa kiya jaaye.


Baad baaligh hone par bachchi ki maa ne Jahan nikaah ka silsila chalaya To ladke ki maa ne Ilm jafr se faal k hawaale se kaha k ladki ka naam badal k Naye naam pe aqeeqa kiya jaaye to uske haq me Nikaah k baad az dawaaj zindagi me kisi qism ki mushkil nahi hogi Jab k Ladki ka aqeeqa ek saal ki umr me kiya ja chuka hai


Ab poore masle ko madde nazar rakh k Shariyat kya kahti hai Bataane ki zahamat karen


Was salaam va rahamatullaah va barakatahu


Jawaab :


باسمہ تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمت اللہ و برکاتہ


Haqeer ne baarhaa arz kiya ke Qur'aan Hakeem se bach'chi / bach'che ka naam rakhne ya naam ke horuf nikaal kar bach'chi / bach'che ki taarikhe paidaa'eish ke horuf ke aadaad ko aapas me mila kar naam rakhne ke mota'alliq rewaayat ke motabar masaadir wa maraaje aur sirate Maasumeen (علیهم السلام) me koei baat waarid nahi huei hai, Albatta shari'at me is ki momaana'at nahi


Qur'aan Kareem se naam rakh sakte hain, isi tarah eilme abjad ke hesaab se naam rakhne me shar'an koei qabaahat nahi


Eilme jafr Ahle Bait ke o'lume ghaibiyah ki aqsaam me se aek qism hai. Bataure kaamil aur haqiqi eilme jafr Aeimmah At'haar (سلام الله علیهم) se makhsus hai


Jab is ka eilm sirf Aeimmah (سلام الله علیهم) ke paas hai to eilme jafr se rishte ke baare me faal nikaalne waale ne faal kaiyse nikaali ?! aur faal nikaalne waale ne ye bhi kaha ke nekaah ke baad ladki ki izdewaaji zindagi me kisi qism ki mushkil nahi hogi. Mustaqbil ke baare me is tarah ki khabar ka mamba keya hai ?! bas Khoda hi jaanta hai


Dusre ye ke is se istekhaara karaane aur faal nikalwaane ko hujjat samajhna qat'an ghalat aur gunaah hai


Waazeh rahe ke aqiqah karne ke baad agar kisi wajah se bach'chi / bach'che ka naam tabdil kar diya to naam tabdil karne se aqiqah par koei asar nahi padta hai. pahle kiya huaa aqiqah kaafi hai.


Ba'har kaif aek hi bach'chi / bach'che yaa shakhs ka kaei martaba aqiqah kiya jaa sakta hai, shar'an koei haraj nahi hai lehaaza baaligh hone ke baad bhi bach'chi ka dobaara aqiqah kar sakte hain


Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai insha'allah


  1. Jafr ka matlab | eilme jafr se moraad | aqsaam | eilme jafr aur is ki ketaab sirf imaam ke paas hai

  2. Ach'chhe aur bure naamon ke asaraat ki haqiqat | Har tarah ki bimaari se bachne ke liae doa aur nuskhe

  3. bach'chon ka naam paydaaeish ke pahle aur ach'chhe rakhen

  4. Eilme aadaad ke zariae naam ke aadaad nikaalne | nag pahenne ka hukm | mariz ke liae mofid nag

W.salaam

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e- edaara-e-darul itrar Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


12 / Jomaadiyul Awwal / 1447 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen