Rahbar Syed Ali Khamenei ki shahaadat par izhaare taaziyat aur aqidat
×

Rahbar Syed Ali Khamenei ki shahaadat par izhaare taaziyat aur aqidat

اردو میں پڑھنے کے لیے یہاں دبائیں


باسم الحی الذی لایموت
یاصاحب الزمان ادرکنا

الَّذِينَ إِذَا أَصَابَتْهُمْ مُصِيبَةٌ قَالُوا إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ أُولَٰئِكَ عَلَيْهِمْ صَلَوَاتٌ مِنْ رَبِّهِمْ وَرَحْمَةٌ


Wo log ke jab oun par koei mosibat padti hai to kahte hain beshak ham Allah hi ke hain aur ousi ki taraf palat kar jaane waale hain, ye wo log hain jin par oun ke rab ki taraf se dorud hain aur rahmat bhi

Sham'ae raushan bujh gaei, bazme sokhan maatam me hai

image Ali Hosseini Khamenei

10 Maahe Ramzaan 1447 H.Q ki subh, taarikhe insaaniyat wa aalam aur islaam ki wo alamnaak wa bad'tareen wa seyaah tareen subh thi jis me badnaame zamaana wa khaufnaak jazaa'aer "Epstein" (shaytaani jinsi jazaa'aer) ke jinsi jaraa'aem ke mujrimon, khun'khaar wa atfaal khaar, insaaniyat wa bashariyat ke jal'laadon, shaqi tareen ash'qeyaa, manhus wa khabees Ameriki aur Israeili huk'kaam ki ghair akhlaaqi, ghair osuli, buzdelaana, mujremaana aur mushtaraka jaarehiyat wa hamlon me khaareji wa daakheli dushmanon, khaa'aenon, monaafeqon aur ahmaqon ki hemaaqat, kheyaanat, sharaarat aur Amrica wa Israel ke talwe chaatne waali Banu Omay'ya ki naa jaa'aez aulaad ki saazishon ke tahat Oummate Muslema ke azeem leader, Rahbare Hakeem, Rahbare Inqelaab, Muqtadaa'ae Millat, Say'yede Jaleel wa Salil, Ahraare Aalam ke dilon ki dharkan, Shaheede Maahe Ramzaan Hazrat Aayatullah Syed Ali Husaini Khamenei (Qad'dasallah nafsahuz zakiyah) ne apni beti, Shahida Beti ki maasum bach'chi (Nawaasi) aur maujuda Rahbar Hazrat Aayatullah Syed Mujtaba Husaini Khamenei ki Biwi (Rahbare Shaheed ki bahu) aur aek Daamaad samet haalate roze me jaame shahaadat nosh kiya

10 maahe ramzaan ko hi aap ki Jaddah Oummul Momeneen Hazrat Khadija (salaamullah alaiyha) ne rehlat farmaaei aur isi mahine me aap ke Jad Amirul Momeneen Hazrat Ali (salaamullah alaiyhe) ko bhi shaheed kiya gaya

Fakhre rozgaar Qaa'aede shaheed ki dil kharaash wa jaankaahi khabare shahaadat par shadeed sadma huaa, ghamo andoh ka pahaad tut pada, aflaak rone lage, zameen oudaas ho gaei, feza aansu bahaane lagi, bolta huaa chaman khaamosh ho gaya, aek sham rah gaei thi so wo bhi khamosh ho gaei

Sham'ae raushan bujh gaei, bazme sokhan maatam me hai

Ye mosibate ouzma sirf millate Iran ke liye sangin, dil shekan aur dardnaak nahi balke tamaam millat ke liye hai, aalamgeer sog aur hama geer ghamo andoh hai is liye ke Rahbare shaheed ki shahaadat aek fard ki nahi, aek farde fareed, laa'saani aur yaktaa'ae dahr ki shahaadat hai, aek faqih ki shahaadat hai, pure aalam ki maut hai, dine islaam me aiysa shegaaf hai jis ko koei chiz pur nahi kar sakti, jis ki koei talaafi nahi

Aap ka ham se bichha'd jaanaa aek aiysa khasaara wa noqsaan hai jis ka koei madaawa nahi, aap ka jaana aek aiysi kami hai jo marte dam tak aur zamaane bhar rahe gi
Qaa'aede shaheed jaiysi naabega'ae rozgaar hasti sadiyon me aek aadh paiyda hoti hain
Dunya me aiyse log bahot kam paa'ae jaate hain jo aap jaiysi shakhsiyat, jaame'eiyat aur hama giri tak pahunche hon

Aap eilmo fazl aur taqwa ke baland maqaam par faa'aez the, jaameoush sharaa'aet faqih, barjasta adeeb, eilmo amal wa shujaa'at me momtaaz, aelaahi aalim, aagaah, dushman shanaas aur seyaasat daar wa seyaasat madaar the

Wo na sirf deeni olum me ghahraaei tak outre huae the balke seyaasat me yade tula, obur aur mahaarat rakhte the, wo hama jehat shakhsiyat the, aap ki Alawi wa Husaini seyaasat ka aek aalam mad'daah hai

Eilmo adab, fahmo feraasat, eilme deen aur seyaasi jiddo jahd ke imtezaaj waali shakhsiyaat bahot kam hoti hain, seyaasat ke maidaan me bahot kam aiyse hote hain jo aek dil aur aek hi zabaan rakhte hon, bahot kam log wa hastiyaan aiysi hoti hain jo dunya ka naqsha badal kar rakh deti hain, Rahbare Shaheed ka shumaar aiysi hi hastiyon me hota hai

Maujuda afsos naak daur me aap ka wojud rahnumaaei ki motalaashi oummat ke liye minaara'ae noor ki haisiyat rakhta tha is ka aeteraaf aap ke moridon, mowaafiqon hatta mokhaalifon ko bhi hai, aap ke dushman bhi is ke qaa'ael hain

Dunya ke makkaar, ghaddaar aur faasid tareen wa kaseef tareen dushmanon se moqaabala kiya, Atomii taaqat ke aage koh aur sisa pilaaei huei diwaar ki tarah khade rahe, buzdilon ki tarah maidaan chhod kar bhaage nahi
Ameriki ghundon ko munh tod jawaab diya, wo America jis ke khabees wa paleed aur maloun wazeere khaareja ne kaha :

Iran par paabandiyaan is liye hain ke insaaniyat ke nejaat dahinda Imaam Mahdi (Arwaahonaa Fedaaho) ke zohur ka moqaabala kiya jaa'ae

Tamaam tar saazishon, kheyaanaton, rokaawaton, sa'aubaton, dushman ki sharaaraton, buzdilon, mushkilon aur Iran me tajad'dud pasandi wa raushan kheyaali ke fitnon ke baa'wojud Khoda par tawak'kul, ous ki nusrat wa hemaayat aur Ahlebait (alaiyhemus salaam) ke wasile se defaaei mo'aamalaat aur fauji salaahiyat me wus'at dene ke aelaawah digar bahot se omur me mulk ko khud kafeel banaa diya

Baaz log kahte hain ke paabandiyaan taraqqi ko rokti hain lekin Imaame Asr (Aj'jalallah Farajahush Shareef) ke azeem sepaahi Rahbare Shaheed ki hakimaana policyon ne peshraft wa taraq'qiyon ko janam diya dushman ke saamne jhuknaa aur darnaa qaa'aede shaheed ki loghat me nahi tha
Apni hayaate tay'yeba aur taqriban 4 dahaaei tak Rahbari ke dauraan tamaam maraahil me az ibtedaa taa intehaa, aakhri saans tak Alawi wa Husaini shujaa'at aur hakimaana basirat, modiriyat aur raway'yon ki raushan misaal wa mazhar the

Waqte shahaadat aap apne tandurust haath ki muth'thi baandhe huae the is me bhi dushmanon ko waazeh paiyghaam hai ke agar meri qaum ki taraf kabhi maili aankh se dekhaa to tumhaare ghorur wa ghamand ke saath tumhaara beda gharq ho jaa'ae gaa

Ye maaruf jumla wa misra aap par ba'taure kaamil saadiq aataa hai

«إِنَّ الْحَیاةَ عَقیدَةٌ وَجِهادٌ»


mafhum : zindagi aqida'ae tauheed hai aur deeni jehaad wa talaasho koshish hai

Qaa'aede shaheed ki zindagi qaabile fakhr hai aur shahaadat qaabile rashk hai haqiqi islaam ki aabyaari hamesha khun se hoti hai, tanaawar darakht inqelaab ki aabyaari apne khun se ki hai jo khushk nahi hoga
Ye raahe ashkhaas wa afraad nahi balke raahe eimaan wa jehaad hai, is ka wojud afraad se waabasta nahi

Rahbare inqelaab is baat ke qaa'ael the ke "fard qaa'aem rabte millat se hai, tanhaa kuchh nahi"

Rahbare Shaheed ki shahaadat paayaane raah nahi balke aaghaaze raah hai, aek mauj hai jo khatm hone waali nahi, aap zindah hain is liye ke aap ka maqsad zinda hai, aap ki shahaadat qaum ki hayaat hai

aap ki nuraani raah wa sirat motawaq'qif nahi hogi balke aap ke naqshe qadam par chalne waalon, jaan nesaaron aur millate sharaafat, shujaa'at, shahaamat aur shahaadat yaani Shi'ayaane Haidare Karraar (Alaihis Salaam) ke zariae jaari wa saari rahe gi, kashti'ae inqelaab rawaan dawaan rahe gi

Durust hai ke dushman qawi wa taaqatwar hai, ous ke paas mash'hur wa jadeed defaaei nezaam jaiyse aahani gumbad (iron dome) hai lekin aap ke aqidat mandon, chahne waalon ke paas maanawi gumbad (ruhaani dome) hai, eimaan ki zabardast taaqat wa quwat hai

Dunya waalon ne dekh liya ke aap ke chaahne waalon ne iron dome ko naa kaam banaa diya balke chhalni kar diya

Yaqinan millat ke azimush shaan qaa'aed ka saneha'ae shahaadat naaqaabile talaafi khasaara aur bahot sakht hai, aiysa zakhm hai jis ka marham nahi, sirf Khoda ka lutf zakhmi dilon aur daaghe ghame feraaq ka marham ban sakta hai aur Khoda ka lutf hi ous ki talaafi kar sakta hai lekin taarikhe islaam gawaah hai ke gulshane islaam aur dine haq ki aabyaari maasum bach'chiyon, bach'chon, auraton, nau jawaanon, buzurgon, bahaaduron aur shahsawaaron ne apne rangin lahu wa khune jigar se ki hai

Rahbare shaheed (rizwaanullah ta'aalaa alyhe) ki hayaat me naara lagta tha "jaanam fedaa'ye rahbar"  (meri jaan rahbar par feda wa qurbaan ho) lekin Rahbar ne apni jaan millat par feda wa qurbaan kar di

Aap ne sab ko raahe haq wa sawaab dekhaaei lekin kisi ko majbur nahi kiya aap aek mardum saaz shakhsiyat the

Bahot afsos ke saath kahna pad raha hai ke aap ki ye bhi mazlumiyat hai ke shahaadat ke 2 mahine guzar chuke hain magar taa dame tahrir tadfeen nahi huei, aap mazlum hain lekin muqtadir mazlum hain

Memaare qaum Rahbare shaheed ki qurbaaniyon aur geraan qadr khidmaat ko hamesha aehteraam ki nazar se dekhaa jaa'ae ga aur yaad rakha jaa'ae ga

Aap ki di huei taalimaat aur guzre lamhon ke noqush hamaare dilon me hamesha taaza rahen ge
waqaar aiysa ke nazar na hate aur saadgi aiysi ke dil jeet le

Rahbar banne ke baad jab aap pahli martaba Qum moshar'rafa tashreef laa'ae to apne 3 roza qeyaam ke liye markaze inqelaab aur maaruf madrasa "faiziya" ka intekhaab kiya, kisi hotel waghairah me qeyaam nahi kiya
yahaan ye baat qaabile zikr hai ke ous waqt madarsa faiziya me koei khaas sohulaten nahi thin mai ous waqt isi madrasa me rahta tha
Haqiqat ye hai ke aap jetna mash'hur hain outna pahchaane nahi ga'ae

Ye mokhtasar si daastaan ahde haazir ke ous azeem mojaahid fi sabilillah, mohsine millat, abqari wa qad aawar shakhsiyat, ahd saaz aur naabegha'ae rozgaar mofakkir ki hai jis ne millat ko bachaane aur khushnudiye aelaahi me shahaadat ka jaam nosh kiya aur aiysi an-mit daastaan raqam kar gaya ke jis par na sirf ye ke Irani qaum fakhr kare gi balke tamaam aazaad manish aur munsif insaan rahti dunya tak fakhr karen ge

Aakhir me faarsi sheron ke 2 alag alag bait par apni baat khatm karta hun jo mere dil ki kaifiyaat aur jazbaat ke ak'kaas wa tarjumaan hain

Aanche khubaan hame daarand to yekjaa daari
Bi sabab nist, ke dar konje delam jaa daari
Darde maa az hejre yusof kamtar az yaqub nist
ou pesar gom karde bud o maa pedar gom karde eim

Imaame Zamaana (Aj'jalallah Farajahush Shareef) aur tamaam foqahaa'ae aezaam, mujtahedine keraam, olamaa'ae islaam, hauza'ae eilmiya, oummate islaami wa momeneen, shaheed parwar millate Iran, Rahbare Shaheed ke moqalledeen, sach'che wa mukhlis mojaahedeen, khaas taur par qaa'aede shaheed ke tamaam moaz'zaz khaanwaade ki khidmat me taaziyat wa tasliyat pesh karta hun aur Rabbul Eizzat ki baargaah me dast basta eiltija hai ke oun sab ko sabre jameel wa jazeel aur ajre azeem aenaayat kare aur na'ae Rahbar ko lambi oumr ataa farmaa'ae aur ash'raar ke shar se mahfuz rakhe aur Panaahe Aalam, Munjiye Aalame bashariyat ke Zohur me Taajeel farmaa'ae

وَالسَّلَامُ عَلَیْهِ یَوْمَ وُلِدَ وَیَوْمَ جَاهَدَ وَیَوْمَ اسْتُشْهِدَ وَیَوْمَ یُبْعَثُ حَیًّا

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat-hauza-e-eilmiya Qum / iran

12 / zil-qaa'da / 1447 H.Q
bamotaabiq 30 / 4 / 2026

subscribe us on youtube

Comment

Previous Post Next Post