Jashn-E-Mauludain
×

Safih Kise Kehte Hain ? Uske Muamalaat Ka Sharai Hukm

اردو میں پڑھنے کے لیے یہاں دبائیں


Sawaal az : Mohtram Janaab Gulzar Ahmad Sb. (Kashmir)

Sharan kis had tak kamzor aql ya kam fahm shakhs ke saath zameen, jaidad ya maali muamla karna durust hai? Nez agar koi shakhs baaz muamlaat samajh leta ho lekin mukammal samajh boojh na rakhta ho, to us ke saath khareed o farokhat ya jaidad ka soda mo'tabar hoga ya nahin? Aur us ki pehchan ka sharai meyar kya hai?

Jawaab :

باسمہ تعالی
یاصاحب الزمان ادرکنا
سلام علیکم

Aasaan aur mokhtasar wazaahat ke saath aap ke sawaalaat ke jawaabaat darj zail hain

Safih se moraad :

Safih wo hai jo zindagi ke mokhtalif shobon me zaruri sho'our aur fikri baalidgi tak na pahunchaa ho, apne amwaal ki hefaazat karne se qaasir ho aur aasaani se dhoka khaa jaata ho

Dusre lafzon me :

Fiqhi noqta'ae nazar se, safih (ghair rasheed) wo hai jo aqle ma'aash (ma'aashi mo'aamalaat ki sujh bujh, aeqtesaadi masaa'ael ke sho'our, zindagi basar karne ki sujh bujh aur dunyawi ya aeqtesaadi omur ke dark) se mahrum ho, is ke natije me wo apne amwaal wa jaa'aedaad ko ghalat maqaasid ke liye kharch karta hai aur ouse zaa'ae karta hai
lafz safih ka mokhaalif rasheed hai

Safih ka fiqhi hukm :

Safih ko shar'an mahjur qaraar diya gaya hai yaani ouse apne amwaal me tasarruf karne se mana kiya gaya hai

Safih ka apne amwaal me tasarruf sahih nahi, khaah mard ho ya aurat lehaaza ous ki kharido farokht aur dusre mo'aamalaat jaiyse keraaya, qarz, aariyah aur waqf waghairah apne amwaal me durust nahi albatta sharei wali (jaiyse baap, daadaa aur haakime shar [شرع]) ki aejaazat se sahih hai

Safih ki pahchaan ka meyaar :

Zaruri fikri sho'our aur zehni nashvo numaa ke maraatib wa maraahil hain jo afraad me mokhtalif hote hain lehaaza is ka tay shudah koei khaas meyaar nahi hai
is masale me hame laa mohaalah dekhna hoga ke ourf me kis had tak safaahat ko apne amwaal ka intezaam aur zindagi ki modiriyat karne me qaasir samjhaa jaataa hai ousi aetebaar se apne amwaal me safih ka mo'aamalah baatil hoga ya naafiz wa motabar

Waazeh rahe ke safih wo hai jo apne amwaal me zeyaadah tar ghair aaqelaana wa ghair daanish mandaana tasarrufaat karta hai, behuda kaamon me apne amwaal oudaata hai ous ka mo'aamalah baatil hai naafiz nahi hai aur agar koei shakhs apni jaa'aedaad wa amwaal me kabhi kabhaar ghair daanish mandaana tasarruf karta hai ya apne mo'aamalaat (len den) me bahot kam dhoka khaa jaata hai to ouse ghair rasheed (safih) nahi samjhaa jaata ous ka mo'aamalah naafiz aur motabar hai

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran

18 / zilhijhah / 1447 H.Q

Roze eidullaahe akbar, eide Aale Mohammad (salaamullah aliyhim) yaani e Eide Ghadeer

Comment

Previous Post Next Post