Moharram wa azaadaari ke mota'alliq mofid maalumaat
×

Namaaz-e-jum'ah ke waqt zohr ki namaaz baa jamaa'at ya foraada padhne ka hukm

اردو میں پڑھنے کے لیے یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram Janaab Shahaab sb / Lucknow

Assalamu Alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu,

Sawal hai,
Namaz e jume k pahle kisi masjid me zohar ki jamat ho sakti hai ya nahi ?
According to Aayatullah sistani sahib.
Jiska distance bhi 5km se Kam ho.
Please reply.

Jawaab :

باسمہ تعالی
یاصاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمت اللہ و برکاتہ

Imaame Zamaana (Arwaahonaa fedaah) ki ghaibat ke dauraan namaaze jum'ah waajibe taayini nahi balke aekhteyaari waajib hai (yaani namaaze jum'ah padhna aekhteyaari chiz hai, waajib aur laazim nahin) lehaaza namaaze jum'ah se pahle ya namaaze jum'ah ke waqt kisi masjid me ya ghar me namaaze zohr, baa jamaa'at ya inferaadi ho sakti hai (padhna shar'an durust hai)

Waazeh rahe ke "waajibe taayini" ka matlab ye hai ke Maulaa wa Shaare (Khoda ya Rasule Akram aur Aeimmah Athaar salaamullah alayhim) ka hukm sirf aek khaas moaamale se mota'alliq hai aur taameel ke lehaaz se koei dusra amal ous ki jagah nahi le sakta jayse maahe ramzaan ke roze aur rozaana ki namaazen

Maulaa wa shaare ka hukm oun namaazon aur rozon se mota'alliq hai koei dusra amal maula wa shaare ka maqsad (gharaz) pura nahi kar sakta

Waajibe taayini ke bar'aks waajibe takh'eiri hai jayse namaaze jum'ah ya namaaze zohr, in donon (namaazon) me se agar koei bhi aek namaaz padh len to kaafi hai (is silsile me mokallaf ko aekhteyaar hai)

Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai Insha'allah

  • Namaaze jum'ah ka waqt | Zawaale aaftaab maalum karne ka tariqa
  • والسلام

    Syed Shamshad Ali Katokhari
    khaadim-e-edaara-e-darul itrat
    shoba-e-sawaalaat Qum / iran


    24 / zilhijjah / 1447

    Roze ghadire Saani yaani Eide Mobaahala aur Nozule Aayate Tatheer

    subscribe us on youtube

    Comment

    Previous Post Next Post