اردو میں پڑھنے کے لیے یہاں دبائیں
Sawaal az : Mohtram Janaab Gulzar Ahmad Sb. (Kashmir)
Asalam Alaikum Sawal :
- Hindustan mein hukumat kisi Masjid ya Mandir ke naam par barah-e-raast paisa nahi de sakti, lekin hukumat Community Hall ke naam par paisa deti hai, jabki niyyat Masjid hi ki hoti hai. Kya is raqam ko Masjid par kharch kiya ja sakta hai?
- Aur agar hukumat ne baghair kisi makhsoos shart ke Community Hall ke naam par raqam di ho, toh kya baad mein us raqam ko Masjid par kharch kiya ja sakta hai ya nahi???
Jawab hamein Aga sistani aur Shaheed Aga khamnai ke fatwa ke mutabiq chahiye
(Masjid ka mamla hai Agar jawab audio ki surat main diya jaye toe aap ki nawazish) hogi
Jawaab :
باسمہ تعالی
یاصاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمت اللہ و برکاتہ
Donon sawaal ka jawaab :
Rahbare shaheed ke motaabiq :
Dene waale ko is ka eilm ho aur ous se raazi ho to koei haraj nahi hai
Aayatullah sistaani ke motaabiq :
shar'an jaa'aez hai is me koei haraj nahi
Tamaam khaaharaan wa beraadaraane geraami se guzaarish hai ke sirf aek marja ka mas'alah puchhen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat shoba-e-sawaalaat Qum / iran
8 / jomaadiyus saani / 1448 H.Q
subscribe us on youtube