Agar maahe ramazaan me toluae fajr ke pahle ghusl ke bajaa'ae tayammum kar ke roza rakhen to sahih hai ? | toluae fajr tak khaate rahe to roze ka keya hukm hai ? | farsh ya lebaas waghairah par padi gard par tayammum kar sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, May 13, 2019

Agar maahe ramazaan me toluae fajr ke pahle ghusl ke bajaa'ae tayammum kar ke roza rakhen to sahih hai ? | toluae fajr tak khaate rahe to roze ka keya hukm hai ? | farsh ya lebaas waghairah par padi gard par tayammum kar sakte hain ?

Sawaal az : .....


    S.a


    Maulana sahab sawaal ye hai ki
    aaj sehri mai mai utha aur uth ke khana khane ke liye plate mai khana utara tabhi mujhe pata chala ki mera ehtalaam ho gaya hai. tab time tha 3:46 am.
    phir mene jaldi se khana khaya aur 4:07 am tak khatm ho gaya. uske baad niche ke badan ko paak kiya kyu ki nahane ka time nahi tha. mene 4:17 am tak tayammum kar liya.
    mai yaha hydrabad mai rahta hu jis rum mai rahta hu waha pahle non muslim rahte the. tayammum mene ek gatte pe padi dhool se kiya.


  1. kya wo tayammum karne ke liye paak thi ?

  2. mai hydrabad me rahta hu kaam ke liye aaya hua hu mujhe sehri aur namaze subh ka koi idea nahi hai. mai net per dekh ke padh leta hu aur usi ke according roza rakhta hu. net per 2time show karta hai ek subha ki namaz ka 4:28am and ek 4:48am.
    mene yaha site pe ek ladke se pucha jo sunni tha usne apna sehri ka time mujhe 4:20 am bataya.


  3. to kya mera roza ho jayega ?

  4. Plz mujhe jaldi bataiye is masle ko


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


  1. agar azaane subh (toluae fajr) ke pahle ghusl ke badle tayam'mum kar liya hai to roza sahih hai

  2. farsh, lebaas aur gad'dhe ... par padi gardo ghobaar par tayam'mum kar sakte hain sahih hai ba'sharte ke wo gardo ghobaar is qadr ho ke logon (ourf) ke nazdik ous ka shumaar narm mitti me hota ho

  3. Wazaahat :


    agar khaak, rig (ret), mitti ka dhela aur qudrati pat'thar na mile to gili mitti par tayam'mum karen, agar ye saari chizen na hon to farsh wa lebaas aur gad'dhe ... par padi gardo ghobaar par kar sakte hain
    is surat me is qadr hona zaruri nahi hai ke logon ke nazdik ous gardo ghobaar ka shumaar narm khaak me hota ho


  4. agar gardo ghobaar ki najaasat par yaqin nahi hai to paak hai, ous par tayam'mum sahih hai

  5. agar azaane subh (toluae fajre saadiq) ke pahle tak sahari khaate hain to roza sahih hai is ke baad jaan bujh kar khaane pine se roza baatil hai

  6. albatta tahqiq ki aur is baat ka eilm bhi tha ke abhi tarke sahari ka waqt nahi huaa hai aur khaate rahe, baad me maalum huaa ke sahari ka waqt khatm ho gaya tha to roza sahih hai aur qaza nahi hai


Note :


  1. jis shahar me aap ka qeyaam hai ماشاءالله wahaan momenin ki aabaadi hai aur bade bade shi'on ke markaz bhi hain, sahar wa iftaar ke auqaat ko wahaan se maalum kar sakte hain

  2. azaane subh (toluae fajre saadiq) se mota'alliq pahle tafsili jawaab de chuka hun molaaheza farmaa len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


6 / رمضان الكريم / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.