Maahwaari ke dinon me majlis padhne | mimbar par baithne | masjid me jaane ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, October 16, 2019

Maahwaari ke dinon me majlis padhne | mimbar par baithne | masjid me jaane ka hukm

Sawaal az : khaahare geraami


Assalamalekum.... Mera naam ... hai janaab mera sawaal ye hai ki ladies kabhi bhi kisi bhi condition { Haiz ki halat } me majlis padh sakti hain ya mimbar par baith sakti hain


Janab mera naam open na kare please


Jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله وبركاته


Haa'aez par ( maahwaari ke dauraan ) wo aebaadaten haraam hain jin me tahaarat yaani wozu ya ghusl ya tayam'mum shart hai jaise namaaz, roza, tawaaf, aetekaaf. lekin jis me tahaarat shart nahi hai ous ko anjaam de sakti hain jaiyse namaaz-e-mai'yit ( نماز میت )


Majlis padhna bhi aiysi aebaadat hai jis me tahaarat shart nahi hai lehaaza padh sakti hain


mimbar par baith sakti hain lekin do baaton ka kheyaal rahe :


  1. mimbar masjid me na ho, is liae ke haa'aez ka aam masjid me tawaqquf ( ٹھہرنا ) haraam hai

  2. mimbar par aayat ya moqaddas naamo ko mas wa lams na karen. albatta haatho'n me dastaana ho to mas karne me koei haraj nahi hai

Note :


majlis wa mimbar ke aadaab me se aek tahaarat hai lehaaza baa'tahaarat majlis padhen aur mimbar par jaa'aen to behtar hai


Haa'aez :


ous aurat ya ladki ko kahte hain jis ke rahim se har mahine chand roz khun aaye


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله


  1. Janaabat | maahwaari ki haalat me qabristaan | masjid | imaam baade me jaane | faateha padhne ka hukm

  2. maahwaari ka ajr | is haalat me itminaane qalb kaise haasil karen ?

Mazid tafsil ke liae site ke "MENU" me JANAABAT & HAIZ ka shoba dekh len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran


13 / جمادى الاول / 1440 ھ.ق


ایک روایت کے مطابق روز شہادت جناب سیدہ ( سلام الله عليها ) کی مناسبت سے تعزیت پیش کرتا ہوں

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.