Sawaal az: +9198183*****
Mera sawal hai ke kya aurat ko baghal (under arms) aur zere naaf baal bled se kaatne ko Shariyat ne haraam Qarar diya hai
Jawaab :
باسمه تعالی
سلام علیکم
is ke baare me khaaharaane geraami ki taraf se bahot sawaal hota hai is ta'alluq se arz kar dun ke aurat ho ya ladki zere baghal wa zere naaf baalon ko hataa'ae
is liae ke islaam me zaahir wa baatin ki tahaarat wa paakizgi par bahot zor diya gaya hai
dono maqaam ke baalon ko kisi bhi wasile (jaiyse blade, qainchi = قینچی، dawa, cream, nura...) se hataane wa saaf karne me koei haraj nahi hai
albatta koei chiz aiysi na ho jis se badan ko noqsaan pahunche
Note :
baaz rewaayaat me zere naaf zaa'aed baalon ko chhodna mardon ke liae 40 roz se zaa'aed arse tak aur auraton ke liae 20 roz se zaa'aed arse tak mana kiya gaya hai (makruh hai)
rewaayaat me zere baghal baalon ki safaaei par bahot zor diya gaya hai (taakid ki gaei hai) lekin zere naaf baalon ki safaaei ki tarah muddat ka zikr nahi hai
donon maqaamaat ke zaa'aed baalon ki safaaei ke bahot saare maanawi wa jismaani faa'aede hain
tafsil "Hilyatul muttaqin" me baab 7 fasl 6, 7, 8, 9 aur 10 dekh len
taalif aalime rabbaani allaama Mohammad Baaqir Majlesi قدس سره
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
6 / جمادى الاولى / 1441ھ.ق