Sawaal az : beraadare mohtaram
As Salam alaikum Mualana sb
Main ..... me job karta hu aur mera office time ayesa hai ke jab tak main ghar pahuchta hu meri zuhrain ki namaaz qaza ho jaati hai, aisi surat me kya main bade bhaiyon ke saath haath baandh kar unhi ki tarah namaaz padh sakta hu ya nahi ?
Please detail me bata den main Sistani sb ka muqallid hu
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Aap chand kaam kar sakte hain :
- kahin monaasib jagah jaiyse kamra waghairah me akele padh sakte hain to wahaan apne tariqe ke motaabiq padhen
- aap haath khol kar apne tariqe ke motaabiq padhen, agar jaan ke liae khatra ho to ba'taure taqiyah (تَقِیَّه) kahen "main shaafe'ei hun" is liae ke shaafe'ei bhi haath khol kar namaaz padhte hain
Asl jawaab :
ahle sunnat ke saath jamaa'at se namaaz padhna jaa'aez hai lekin agar namaazi (maamum) surah hamd wa dusre sure ko padh sakta hai to hatman ous ko aahista aahista zabaan se padhe, agar is tarah nahi padh sakta hai to apne dil me padhe
agar taqiyah ki zarurat pade (masalan jaan ke liae khatra ho) to haath baandh kar namaaz padh sakte hain
Taqiyah ki surat me sajdah kis par karen ?
agar aap aiysi jagah hain jahaan aiysi chiz nahi hai jis par sajdah jaa'aez hai to jaa'aez hai farsh aur is ke maanind chizon par sajdah karen aur agar aiysi chiz hai jis par sajdah jaa'aez wa sahih hai jaiyse zamin ya patte wa lakdi se bani chataa'ei to hatman ous par sajdah karen
والسلام
Syed Shamshad Ali katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim-aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
3 / صفر / 1441 ھ.ق
No comments:
Comment